kya hona mumkin hai
agar tum kisī din kuchh ban jaao
ya.anī tum ek harf ban jaao
jo ab tak kisī hurūf-e-tahajjī kā hissa na ho
tū jadliyātī māddiyat ke mutābiq kyā hogī tumhārī
haisiyat
kyā kaheñge tumhāre baare meñ ahl sharī.at
kis maqām par rakheñge tumheñ ahl-e-tarīqat?
kaun sī jamhūriyat tumheñ qubūl karegī
kyā sulūk kareñge tumhāre saath māherīn
lissniyāt?
kaise tai kiyā jā.egā tumhāre liye koī naam?
kaise muqarrar kī jā.egī āvāz?
kyā kareñge jadīdi.e aur mā-ba.ad-al-jadīdi.e?
zarūr tumhārā rishta karāne ko koshish kī jā.egī
aur is se pahle
tai kī jā.egī tumhārī jins
lekin kaise tai kī jā.egī tumhārī jins
kyā qubūl kar sakegā tumheñ koī lafz?
qubūl bhī kar liyā
kisī matrūk yā nā-qābil-e-istimāl ne
to kyā karegī grammar
kyā banegā grammar kī kitāboñ kaa?
zarūr tumheñ jilā vatan kar diyā jā.egā
zarūr kisī din sab ikaTThe hoñge
aur qatl kar degā tumheñ
ijtimā.ī mafād yā qaumī salāmtī ke pesh-e-nazar
sañgsār kar degā
nā-jā.ez aur nā-tahqīq hone ke jurm meñ
aur shāyad tum bhī yahī samjhoge
aaise hone se to behtar hai
na honā
agar tum kisi din kuchh ban jao
yani tum ek harf ban jao
jo ab tak kisi huruf-e-tahajji ka hissa na ho
tu jadliyati maddiyat ke mutabiq kya hogi tumhaari
haisiyat
kya kahenge tumhaare bare mein ahl shariat
kis maqam par rakhenge tumhein ahl-e-tariqat?
kaun si jamhuriyat tumhein qubul karegi
kya suluk karenge tumhaare sath maherin
lissniyat?
kaise tai kiya jaega tumhaare liye koi nam?
kaise muqarrar ki jaegi aawaz?
kya karenge jadidie aur ma-baad-al-jadidie?
zarur tumhaara rishta karane ko koshish ki jaegi
aur is se pahle
tai ki jaegi tumhaari jins
lekin kaise tai ki jaegi tumhaari jins
kya qubul kar sakega tumhein koi lafz?
qubul bhi kar liya
kisi matruk ya na-qabil-e-istimal ne
to kya karegi grammar
kya banega grammar ki kitabon ka?
zarur tumhein jila watan kar diya jaega
zarur kisi din sab ikaTThe honge
aur qatl kar dega tumhein
ijtimai mafad ya qaumi salamti ke pesh-e-nazar
sangsar kar dega
na-jaez aur na-tahqiq hone ke jurm mein
aur shayad tum bhi yahi samjhoge
aaise hone se to behtar hai
na hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.