kya karen
mirī tirī nigāh meñ
jo laakh intizār haiñ
jo mere tere tan-badan meñ
laakh dil-figār haiñ
jo merī terī uñgliyoñ kī be-hisī se
sab qalam nazār haiñ
jo mere tere shahr kī
har ik galī meñ
mere tere naqsh-e-pā ke be-nishāñ mazār haiñ
jo merī terī raat ke
sitāre zaḳhm zaḳhm haiñ
jo merī terī sub.h ke
gulāb chaak chaak haiñ
ye zaḳhm saare be-davā
ye chaak saare be-rafū
kisī pe raakh chāñd kī
kisī pe os kā lahū
ye hai bhī yā nahīñ, batā
ye hai, ki mahz jaal hai
mire tumhāre ankabūt-e-vahm kā bunā huā
jo hai to is kā kyā kareñ
nahīñ hai to bhī kyā kareñ
batā, batā,
batā, batā
In Your Eyes and Mine
meri teri nigah mein
jo lakh intizar hain
jo mere tere tan-badan mein
lakh dil-figar hain
jo meri teri ungliyon ki be-hisi se
sab qalam nazar hain
jo mere tere shahr ki
har ek gali mein
mere tere naqsh-e-pa ke be-nishan mazar hain
jo meri teri raat ke
sitare zaKHm zaKHm hain
jo meri teri subh ke
gulab chaak chaak hain
ye zaKHm sare be-dawa
ye chaak sare be-rafu
kisi pe rakh chand ki
kisi pe os ka lahu
ye hai bhi ya nahin, bata
ye hai, ki mahz jal hai
mere tumhaare ankabut-e-wahm ka buna hua
jo hai to is ka kya karen
nahin hai to bhi kya karen
bata, bata,
bata, bata
In Your Eyes and Mine
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 653)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.