kya kha gae
dauḌā dauḌā chūhā aayā
aur ḳhargosh ko baiThā paayā
bolā yuuñ aayā huuñ bhaa.ī
baat zarūrī ik yaad aa.ī
jānte ho kyā kar baiThe ho
tum jo abhī khā kar baiThe ho
vo chhoTī sī sunahrī puḌiyā
ye bhī samjhe asl meñ thī kyā
chauñkā kuchh kuchh kānoñ vaalā
kuchh to zarūr hai daal meñ kaalā
bolā chūhe kyā kahtā hai
āḳhir tere jī meñ kyā hai
bolā cholā ho ki chhalāvā
tum ho nire bachhiyā ke baavā
dekh ke khāte haiñ chīzeñ bhayyā
tum jo khā ga.e thā vo tatayyā
dauDa dauDa chuha aaya
aur KHargosh ko baiTha paya
bola yun aaya hun bhai
baat zaruri ek yaad aai
jaante ho kya kar baiThe ho
tum jo abhi kha kar baiThe ho
wo chhoTi si sunahri puDiya
ye bhi samjhe asl mein thi kya
chaunka kuchh kuchh kanon wala
kuchh to zarur hai dal mein kala
bola chuhe kya kahta hai
aaKHir tere ji mein kya hai
bola chola ho ki chhalawa
tum ho nire bachhiya ke bawa
dekh ke khate hain chizen bhayya
tum jo kha gae tha wo tatayya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.