kya khelen kahan khelen
bolīñ ġhussa ho kar baajī
ghar meñ kyā tuk hai cricket kī
adnān aiman samra faizī
bāhar jā kar khelo nā
paude TuuT nahīñ jā.eñge
gamle phuuT nahīñ jā.eñge
abbū ruuTh nahīñ jā.eñge
carrom lā kar khelo nā
ek goT carrom kī kam thī
uupar se aa dhamkī arshī
sab ne maanī baat zaman kī
rail banā kar khelo nā
us ke guard bane haiñ aiman
aur zaman haiñ rail kā engine
Dabbe maddū samra addan
faizī aa kar khelo nā
kitnī pyārī rail hai bachcho
kaisā achchhā khel hai bachcho
sab meñ kitnā mel hai bachcho
tum bhī gā kar khelo nā
bolin ghussa ho kar baji
ghar mein kya tuk hai cricket ki
adnan aiman samra faizi
bahar ja kar khelo na
paude TuT nahin jaenge
gamle phuT nahin jaenge
abbu ruTh nahin jaenge
carrom la kar khelo na
ek goT carrom ki kam thi
upar se aa dhamki arshi
sab ne mani baat zaman ki
rail bana kar khelo na
us ke guard bane hain aiman
aur zaman hain rail ka engine
Dabbe maddu samra addan
faizi aa kar khelo na
kitni pyari rail hai bachcho
kaisa achchha khel hai bachcho
sab mein kitna mel hai bachcho
tum bhi ga kar khelo na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.