kyun
tum jo qātil na masīhā Thahre
na ilāj-e-shab-e-hijrāñ na ġham-e-chārāgarāñ
na koī dushna-e-pinhāñ
na kahīñ ḳhanjar-e-sam-ālūda
na qarīb-e-rag-e-jāñ
tum to us ahd ke insāñ ho jise
vādī-e-marg meñ jiine kā hunar aatā thā
muddatoñ pahle bhī jab raḳht-e-safar bāñdhā thā
haath jab dast-e-duā the apne
paañv zanjīr ke halqoñ se kaTe jaate the
lafz taqsīr the
āvāz pe ta.azīreñ thiiñ
tum ne ma.asūm jasārat kī thī
ik tamannā kī ibādat kī thī
pā barahna the tumhāre
yahī bosīda qabā thī tan par
aur yahī surḳh lahū ke dhabbe
jinheñ tahrīr-e-gul-o-lāla kahā thā tum ne
har nazzāra pe nazzārgī-e-jāñ tum ko
har galī kūcha-e-mahbūb nazar aa.ī thī
raat ko zulf se tābīr kiyā thā tum ne
tum bhalā kyuuñ rasan-o-dār tak aa pahuñche ho
tum na mansūr na iisā Thahre
tum jo qatil na masiha Thahre
na ilaj-e-shab-e-hijran na gham-e-chaaragaran
na koi dushna-e-pinhan
na kahin KHanjar-e-sam-aluda
na qarib-e-rag-e-jaan
tum to us ahd ke insan ho jise
wadi-e-marg mein jine ka hunar aata tha
muddaton pahle bhi jab raKHt-e-safar bandha tha
hath jab dast-e-dua the apne
panw zanjir ke halqon se kaTe jate the
lafz taqsir the
aawaz pe taziren thin
tum ne masum jasarat ki thi
ek tamanna ki ibaadat ki thi
pa barahna the tumhaare
yahi bosida qaba thi tan par
aur yahi surKH lahu ke dhabbe
jinhen tahrir-e-gul-o-lala kaha tha tum ne
har nazzara pe nazzargi-e-jaan tum ko
har gali kucha-e-mahbub nazar aai thi
raat ko zulf se tabir kiya tha tum ne
tum bhala kyun rasan-o-dar tak aa pahunche ho
tum na mansur na isa Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.