kyunkar
lagī aag dil kī bujhā.eñge kyūñkar
tabī.at ko raste pe lā.eñge kyūñkar
jo be-dard haiñ rahm khā.eñge kyūñkar
vo bhūle se ghar mere ā.eñge kyūñkar
balā se koī ishq meñ ḳhaar bhī ho
ġham-o-ranj-e-paiham se nā-chār bhī ho
salāmat raheñ dil ke taḌpāne vaale
tamannā.eñ merī na bar laane vaale
savāl-e-mohabbat ko Thukrāne vaale
na paas aane vaale na kaam aane vaale
unheñ kyā ta'alluq fuġhāñ-o-bukā se
faqat kaam rahtā hai qahr-o-jafā se
lagi aag dil ki bujhaenge kyunkar
tabiat ko raste pe laenge kyunkar
jo be-dard hain rahm khaenge kyunkar
wo bhule se ghar mere aaenge kyunkar
bala se koi ishq mein KHar bhi ho
gham-o-ranj-e-paiham se na-chaar bhi ho
salamat rahen dil ke taDpane wale
tamannaen meri na bar lane wale
sawal-e-mohabbat ko Thukrane wale
na pas aane wale na kaam aane wale
unhen kya ta'alluq fughan-o-buka se
faqat kaam rahta hai qahr-o-jafa se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.