la-hasil la-hasil
sa.i-e-lā-hāsil sahī
khilne de ḳhvāboñ ke kañval
dā.eroñ meñ ghūmne vāloñ ne dekhe haiñ
sarāboñ ke kañval
ūñghte sūraj ke
piile aks ne
āñkhoñ meñ bhar diiñ kirchiyāñ
soz-e-mahrūmī hai shah rag meñ nihāñ
din ke chehre se ayaañ
piile piile dā.eroñ kī mauj meñ
khilne de ḳhvāboñ ke kañval
tishna-sarāboñ ke kañval
sa.i-e-lā-hāsil sahī
ik sa.i-e-lā-hāsil sahī
sai-e-la-hasil sahi
khilne de KHwabon ke kanwal
daeron mein ghumne walon ne dekhe hain
sarabon ke kanwal
unghte suraj ke
pile aks ne
aankhon mein bhar din kirchiyan
soz-e-mahrumi hai shah rag mein nihan
din ke chehre se ayan
pile pile daeron ki mauj mein
khilne de KHwabon ke kanwal
tishna-sarabon ke kanwal
sai-e-la-hasil sahi
ek sai-e-la-hasil sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.