la-hasil
ye nauhe
ye mātam
kis liye
kis ke liye
aur kab tak
tumheñ ḳhabar to thī ki tum
havāoñ ke pīchhe
havā ko pakaḌne
bhāgte rahe ho
kal kī is baat kā
afsos bhī ab nahīñ hai
alamiya to ye hai ki
aaj bhī tum
havā ke ta.āqub meñ ho
ye nauhe
ye matam
kis liye
kis ke liye
aur kab tak
tumhein KHabar to thi ki tum
hawaon ke pichhe
hawa ko pakaDne
bhagte rahe ho
kal ki is baat ka
afsos bhi ab nahin hai
alamiya to ye hai ki
aaj bhi tum
hawa ke taaqub mein ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.