Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

la-ilaha-illallah

Allama Iqbal

la-ilaha-illallah

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    (Islam aur Musalman) (Zarb-e-Kalim)

    ḳhudī sirr-e-nihāñ lā-ilāha-illallāh

    ḳhudī hai teġh fasāñ lā-ilāha-illallāh

    ye daur apne barāhīm talāsh meñ hai

    sanam-kada hai jahāñ lā-ilāha-illallāh

    kiyā hai ne matā-e-ġhurūr saudā

    fareb-e-sūd-o-ziyāñ lā-ilāha-illallāh

    ye māl-o-daulat-e-duniyā ye rishta o paivand

    butān-e-vahm-o-gumāñ lā-ilāha-illallāh

    ḳhirad huī hai zamān o makāñ zunnārī

    na hai zamāñ na makāñ lā-ilāha-illallāh

    ye naġhma fasl-e-gul-o-lāla nahīñ pāband

    bahār ho ki ḳhizāñ lā-ilāha-illallāh

    agarche but haiñ jamā.at āstīnoñ meñ

    mujhe hai hukm-e-azāñ lā-ilāha-illallāh

    KHudi ka sirr-e-nihan la-ilaha-illallah

    KHudi hai tegh fasan la-ilaha-illallah

    ye daur apne barahim ki talash mein hai

    sanam-kada hai jahan la-ilaha-illallah

    kiya hai tu ne mata-e-ghurur ka sauda

    fareb-e-sud-o-ziyan la-ilaha-illallah

    ye mal-o-daulat-e-duniya ye rishta o paiwand

    butan-e-wahm-o-guman la-ilaha-illallah

    KHirad hui hai zaman o makan ki zunnari

    na hai zaman na makan la-ilaha-illallah

    ye naghma fasl-e-gul-o-lala ka nahin paband

    bahaar ho ki KHizan la-ilaha-illallah

    agarche but hain jamaat ki aastinon mein

    mujhe hai hukm-e-azan la-ilaha-illallah

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    la-ilaha-illallah Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now