la-ilmi
mire kamre kī almārī
bharī hai jin kitāboñ se
maiñ un ko roz paḌhtī huuñ
maiñ lafzoñ meñ chhupī tarġhīb ke lahje samajhtī huuñ
khubī kuchh lā.inoñ ke darmiyāñ maujūd matlab ko
varaq pe likh ke apne paas yuuñ mahfūz kartī huuñ
ki jaise māhiyat lafzoñ kī saarī jaan lī maiñ ne
zarā sā ġhaur karne par haqīqat yuuñ khulī mujh par
ki jo bhī ilm sīkhā hai
faqat ye ilm detā hai
ki maiñ lā-ilm huuñ ab tak
mere kamre ki almari
bhari hai jin kitabon se
main un ko roz paDhti hun
main lafzon mein chhupi targhib ke lahje samajhti hun
khubi kuchh lainon ke darmiyan maujud matlab ko
waraq pe likh ke apne pas yun mahfuz karti hun
ki jaise mahiyat lafzon ki sari jaan li main ne
zara sa ghaur karne par haqiqat yun khuli mujh par
ki jo bhi ilm sikha hai
faqat ye ilm deta hai
ki main la-ilm hun ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.