la-unwan
vo an-ginat ḳhat
jo kitnī hī zindagiyoñ meñ
maiñ ne tumheñ likhe the
aur tum ne har ek ḳhat
muskurāte hañste rote
ka.ī ka.ī baar paḌhā
aur uThā kar rakh diyā
ek baar aur paḌhne ko
jaise ye ḳhat hī tumhārā aur merā sab kuchh hoñ
in ḳhatoñ meñ ham ne ka.ī rang Dhāle
safed pākīzgī sabz tāzgī
surḳh tamāzat aur niilī gahrā.ī
tum aur maiñ har rang meñ Duub kar tair kar
laḌkhaḌāte aur sambhalte rahe
ka.ī hasīn ḳhvāb bune ka.ī toḌe
phir ek din achānak
tūfān ke ek jhoñke se
paanī ke vo tamām rang
jin meñ ham tum aur maiñ
utar kar Dūbte aur tairte the
aag ke rang meñ Dhal ga.e
jis meñ mere vo saare ḳhat
jal kar raakh ho ga.e
aur tumhārī āñkhoñ meñ tairte āñsūon ke parde meñ
maiñ ne ek dabī sī muskān
kī parchhā.īñ dekhī
wo an-ginat KHat
jo kitni hi zindagiyon mein
main ne tumhein likhe the
aur tum ne har ek KHat
muskuraate hanste rote
kai kai bar paDha
aur uTha kar rakh diya
ek bar aur paDhne ko
jaise ye KHat hi tumhaara aur mera sab kuchh hon
in KHaton mein hum ne kai rang Dhaale
safed pakizgi sabz tazgi
surKH tamazat aur nili gahrai
tum aur main har rang mein Dub kar tair kar
laDkhaDate aur sambhalte rahe
kai hasin KHwab bune kai toDe
phir ek din achanak
tufan ke ek jhonke se
pani ke wo tamam rang
jin mein hum tum aur main
utar kar Dubte aur tairte the
aag ke rang mein Dhal gae
jis mein mere wo sare KHat
jal kar rakh ho gae
aur tumhaari aankhon mein tairte aansuon ke parde mein
main ne ek dabi si muskan
ki parchhain dekhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.