raat kī khulī khiḌkī
band hone vaalī hai
chāñd ke kaTore meñ
os bharne vaalī hai
ye ajab safar is kā
ab tamām hotā hai
lā-zavāl hone kā
dekho kyā bahāna hai
kal bhī ik haqīqat thā
aaj bhī fasāna hai
āsmān kī jānib
sab ke haath uThte haiñ
us ke ḳhuun kī surḳhī
barg-o-bār lā.egī
be-namāz bandoñ par
ya.anī un darindoñ par
har qadam masā.ib kā
intizār lā.egā
raat ki khuli khiDki
band hone wali hai
chand ke kaTore mein
os bharne wali hai
ye ajab safar is ka
ab tamam hota hai
la-zawal hone ka
dekho kya bahana hai
kal bhi ek haqiqat tha
aaj bhi fasana hai
aasman ki jaanib
sab ke hath uThte hain
us ke KHun ki surKHi
barg-o-bar laegi
be-namaz bandon par
yani un darindon par
har qadam masaib ka
intizar laega
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 518)
- Author : shaharyar
- Publication : educational book house (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.