lachaari
jo jaise hai
jahāñ hai
vaise hī kī
be-nazm bisāt par
tajrabātī hādsātī muānqa
majbūr mohabbat hai
logo
ham ne na.e hone par bhī
purāne ko dohrāyā
bisāt-parast kahlvāyā
na.e logo
be-nazmī meñ
nazm numūdār hone ko hai
tum jo
sochne tolne se pahle bolte ho
sach bolte ho
ba-īñ-dalīl
tumhārī tamīz tahzīb
abhī vāste taslīm kartā huuñ
ki tum hī
mere mahbūb ho
tumhī merī ummīd ho
jo jaise hai
jahan hai
waise hi ki
be-nazm bisat par
tajrabaati hadsati muanqa
majbur mohabbat hai
logo
hum ne nae hone par bhi
purane ko dohraya
bisat-parast kahlwaya
nae logo
be-nazmi mein
nazm numudar hone ko hai
tum jo
sochne tolne se pahle bolte ho
sach bolte ho
ba-in-dalil
tumhaari tamiz tahzib
abhi waste taslim karta hun
ki tum hi
mere mahbub ho
tumhi meri ummid ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.