lal qila
tum ise jānte ho ye kyā hai
pyāre bachchoñ ye laal qila hai
laal patthar ke haiñ dar-o-dīvār
is meñ karte the bādshāh darbār
pahle jaisī na ab hukūmat hai
pahle jaisī na ab hifāzat hai
haañ magar is ke gate ke bāhar
kuchh sipāhī haiñ ab bhī pahre par
dekhte haiñ ise ticket le kar
is ke andar hai ik ajā.ib ghar
jis meñ sikke haiñ bādshāhoñ ke
jis meñ kapḌe haiñ bādshāhoñ ke
jis meñ rakhe haiñ anginat hathiyār
jaise bandūq Dhaal aur talvār
laal qil.a jahāñ meñ hai mash.hūr
jāma.a masjid se hai ye thoḌī duur
tum ise jaante ho ye kya hai
pyare bachchon ye lal qila hai
lal patthar ke hain dar-o-diwar
is mein karte the baadshah darbar
pahle jaisi na ab hukumat hai
pahle jaisi na ab hifazat hai
han magar is ke gate ke bahar
kuchh sipahi hain ab bhi pahre par
dekhte hain ise ticket le kar
is ke andar hai ek ajaib ghar
jis mein sikke hain baadshahon ke
jis mein kapDe hain baadshahon ke
jis mein rakhe hain anginat hathiyar
jaise banduq Dhaal aur talwar
lal qila jahan mein hai mashhur
jama masjid se hai ye thoDi dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.