lao to qatl-nama mera
sunñe ko bhiiḌ hai sar-e-mahshar lagī huī
tohmat tumhāre ishq kī ham par lagī huī
rindoñ ke dam se ātish-e-mai ke baġhair bhī
hai mai-kade meñ aag barābar lagī huī
ābād kar ke shahr-e-ḳhamoshāñ har ek sū
kis khoj meñ hai teġh-e-sitam-gar lagī huī
āḳhir ko aaj apne lahū par huī tamām
baazī miyān-e-qātil-o-ḳhanjar lagī huī
''lāo to qatl-nāma mirā maiñ bhī dekh luuñ
kis kis kī mohr hai sar-e-mahzar lagī huī''
sunne ko bhiD hai sar-e-mahshar lagi hui
tohmat tumhaare ishq ki hum par lagi hui
rindon ke dam se aatish-e-mai ke baghair bhi
hai mai-kade mein aag barabar lagi hui
aabaad kar ke shahr-e-KHamoshan har ek su
kis khoj mein hai tegh-e-sitam-gar lagi hui
aaKHir ko aaj apne lahu par hui tamam
bazi miyan-e-qatil-o-KHanjar lagi hui
lao to qatl-nama mera main bhi dekh lun
kis kis ki mohr hai sar-e-mahzar lagi hui
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 633)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.