layal-pur
lāyal-pūr ik shahr hai jis meñ dil hai mirā ābād
dhaḌkan dhaḌkan saath rahegī us bastī kī yaad
mīThe boloñ kī vo nagrī gītoñ kā sansār
hañste-baste haa.e vo raste naġhma-rez dayār
vo galiyāñ vo phuul vo kaliyāñ rañg-bhare bāzār
maiñ ne un galiyoñ phūloñ kaliyoñ se kiyā hai pyaar
barg-e-āvāra meñ bikhrī hai jis kī rūdād
lāyal-pūr ik shahr hai jis meñ dil hai mirā ābād
koī nahīñ thā kaam mujhe phir bhī thā kitnā kaam
un galiyoñ meñ phirte rahnā din ko karnā shaam
ghar ghar mere sher ke charche ghar ghar meñ badnām
rātoñ ko dahlīzoñ pe hī kar lenā ārām
dukh sahne meñ chup rahne meñ dil thā kitnā shaad
lāyal-pūr ik shahr hai jis meñ dil hai mirā ābād
maiñ ne us nagrī rah kar kyā kyā giit likhe
jin ke kāran logoñ ke man meñ hai merī priit
ek lagan kī baat hai jīvan kaisī haar aur jiit
sab se mujh ko pyaar hai 'jālib' sab haiñ mere miit
daad to un kī yaad hai mujh ko bhuul gayā be-dād
lāyal puur ik shahr hai jis meñ dil hai mirā ābād
layal-pur ek shahr hai jis mein dil hai mera aabaad
dhaDkan dhaDkan sath rahegi us basti ki yaad
miThe bolon ki wo nagri giton ka sansar
hanste-baste hae wo raste naghma-rez dayar
wo galiyan wo phul wo kaliyan rang-bhare bazar
main ne un galiyon phulon kaliyon se kiya hai pyar
barg-e-awara mein bikhri hai jis ki rudad
layal-pur ek shahr hai jis mein dil hai mera aabaad
koi nahin tha kaam mujhe phir bhi tha kitna kaam
un galiyon mein phirte rahna din ko karna sham
ghar ghar mere sher ke charche ghar ghar mein badnam
raaton ko dahlizon pe hi kar lena aaram
dukh sahne mein chup rahne mein dil tha kitna shad
layal-pur ek shahr hai jis mein dil hai mera aabaad
main ne us nagri rah kar kya kya git likhe
jin ke karan logon ke man mein hai meri prit
ek lagan ki baat hai jiwan kaisi haar aur jit
sab se mujh ko pyar hai 'jalib' sab hain mere mit
dad to un ki yaad hai mujh ko bhul gaya be-dad
layal pur ek shahr hai jis mein dil hai mera aabaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.