lab-bastagi
suno gurez karo aaj kuchh bhī kahne se
'ajīb vaqt ke dhāre badal rahe haiñ abhī
ye gardishoñ ke tamāshe hatheliyoñ ke fareb
shikasta zaat ke hairat gazīda goshoñ ko
batā rahe haiñ sitāre badal rahe haiñ abhī
abhī to sabr ke ḳhemoñ kī in tanāboñ ko
burīdagī liye hāthoñ se thāmnā hogā
abhī to bād-e-muḳhālif ke in thapeḌoñ ko
bikhartī ḳhaak ke zarroñ se roknā hogā
suno gurez karo aaj kuchh bhī kahne se
ye lamha sā'at-e-be-iḳhtiyār hai jānāñ
yahāñ gumāñ ke qabīle yaqīñ ko Dhāte haiñ
yahī hai maqtal-e-be-āb reg-e-dasht-e-balā
jahāñ pe tishna-labāñ eḌiyāñ ragaḌte hue
kisī ke 'ishq meñ duniyā se haare jaate haiñ
suno gurez karo aaj kuchh bhī kahne se
ki aaj dhuup kā lahja bhī intiqāmī hai
chhupā lo haath se chehre kī vahshatoñ ke nuqūsh
ki ab hadaf hī ujāle kā be-naqābī hai
sapedī-e-saharī se gurez-pā nāchār
siyāhī-e-shab-e-vīrāñ meñ Dhalte jaate haiñ
du'ā du'ā kī sadāoñ se dam ulajhtā hai
ki ab to haath bhī kashkol hote jaate haiñ
suno gurez karo aaj kuchh bhī kahne se
suno ki zahr ke pyāle chhalak rahe haiñ abhī
uThānā jin ko vafāoñ kā farz hotā hai
ye ham jo palkoñ pe aañsū sajā.e phirte haiñ
ye zindagī kī bahāroñ kā qarz hotā hai
suno sukūt ke pahlū talāshtī hai hayāt
abhī saroñ se guzarne do in ġhubāroñ ko
Thaharne do abhī be-rabt ābshāroñ ko
jahān-e-saut-o-sadā ḳhāmushī kā tālib hai
'safar' zabāñ pe kisī harf ko jagah na mile
yahāñ kalām nahīñ bas sukūt vājib hai
suno gurez karo aaj kuchh bhi kahne se
'ajib waqt ke dhaare badal rahe hain abhi
ye gardishon ke tamashe hatheliyon ke fareb
shikasta zat ke hairat gazida goshon ko
bata rahe hain sitare badal rahe hain abhi
abhi to sabr ke KHemon ki in tanabon ko
buridagi liye hathon se thamna hoga
abhi to baad-e-muKHalif ke in thapeDon ko
bikharti KHak ke zarron se rokna hoga
suno gurez karo aaj kuchh bhi kahne se
ye lamha sa'at-e-be-iKHtiyar hai jaanan
yahan guman ke qabile yaqin ko Dhate hain
yahi hai maqtal-e-be-ab reg-e-dasht-e-bala
jahan pe tishna-laban eDiyan ragaDte hue
kisi ke 'ishq mein duniya se haare jate hain
suno gurez karo aaj kuchh bhi kahne se
ki aaj dhup ka lahja bhi intiqami hai
chhupa lo hath se chehre ki wahshaton ke nuqush
ki ab hadaf hi ujale ka be-naqabi hai
sapedi-e-sahari se gurez-pa nachaar
siyahi-e-shab-e-viran mein Dhalte jate hain
du'a du'a ki sadaon se dam ulajhta hai
ki ab to hath bhi kashkol hote jate hain
suno gurez karo aaj kuchh bhi kahne se
suno ki zahr ke pyale chhalak rahe hain abhi
uThana jin ko wafaon ka farz hota hai
ye hum jo palkon pe aansu sajae phirte hain
ye zindagi ki bahaaron ka qarz hota hai
suno sukut ke pahlu talashti hai hayat
abhi saron se guzarne do in ghubaron ko
Thaharne do abhi be-rabt aabshaaron ko
jahan-e-saut-o-sada KHamushi ka talib hai
'safar' zaban pe kisi harf ko jagah na mile
yahan kalam nahin bas sukut wajib hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.