lab-e-goya
ab to shāyad isī andāz se jiinā hogā
us ke har zulm ko be-dād ko chup-chāp saheñ
yuuñ to kahne ko bahut kuchh hai magar āThoñ pahar
ik yahī fikr hai kis tarah kaheñ kis se kaheñ
dekhtī āñkhoñ se ham se to ye hogā na kabhī
is bharī bazm meñ ham sūrat-e-tasvīr raheñ
baat kahne kā jo anjām huā kartā hai
āshkārā hai kisī se bhī to mastūr nahīñ
vo jo āqāoñ ke dastūr ko Thukrā ke baḌheñ
vādī-e-dār-o-rasan un se koī duur nahīñ
ham bhī shāyad usī manzil meñ pahuñch kar dam leñ
dahr meñ ġhalba-e-zulmat hameñ manzūr nahīñ
qaid kyā shai hai salāsil kī haqīqat kyā hai
jism pāband sahī fikr to mahsūr nahīñ
dil meñ jo baat khaTaktī ho agar dil meñ rahe
maslahat-keshī hai ye sheva-e-mansūr nahīñ
ab to shayad isi andaz se jina hoga
us ke har zulm ko be-dad ko chup-chap sahen
yun to kahne ko bahut kuchh hai magar aaThon pahar
ek yahi fikr hai kis tarah kahen kis se kahen
dekhti aankhon se hum se to ye hoga na kabhi
is bhari bazm mein hum surat-e-taswir rahen
baat kahne ka jo anjam hua karta hai
aashkara hai kisi se bhi to mastur nahin
wo jo aaqaon ke dastur ko Thukra ke baDhen
wadi-e-dar-o-rasan un se koi dur nahin
hum bhi shayad usi manzil mein pahunch kar dam len
dahr mein ghalba-e-zulmat hamein manzur nahin
qaid kya shai hai salasil ki haqiqat kya hai
jism paband sahi fikr to mahsur nahin
dil mein jo baat khaTakti ho agar dil mein rahe
maslahat-keshi hai ye shewa-e-mansur nahin
- Book : Rag-e-jan (Pg. 111)
- Author : Ahmad Rahi
- Publication : Al-Hamd Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.