ek hī pal ke liye baiTh ke phir uTh baiThī
aañkh ne sirf ye dekhā ki nashista but hai
ye basārat ko na thī taab ki vo dekh sake
kaise talvār chalī, kaise zamīñ kā siina
ek lamhe ke liye chashme kī mānind banā
pech khāte hue ye lahr uThī dil meñ mire
kāsh! ye jhāḌiyāñ ik silsila-e-koh baneñ
dāman-e-koh meñ maiñ jā ke sitāda ho jā.ūñ
aisī anhonī jo ho jaa.e to kyuuñ ye bhī na ho
ḳhushk pattoñ kā zamīñ par jo bichhā hai bistar
vo bhī ik saaz bane saaz to hai saaz to hai
naġhma bedār huā thā jo abhī kaan tire
kyuuñ use sun na sake sunñe se majbūr rahe
parda-e-chashm ne sirf ek nashista but ko
zehn ke dā.era-e-ḳhās meñ markūz kiyā
yaad aatā hai mujhe kaan hue the bedār
ḳhushk pattoñ se jab aa.ī thī taḌapne kī sadā
aur dāman kī har ik lahar chamak uTThī thī
paḌ rahā thā usī talvār kā saaya shāyad
jo nikal aa.ī thī ik pal meñ nihāñ-ḳhāne se
jaise be-sāḳhta andāz meñ bijlī chamke
lekin is dāman-e-ālūda kī har lahar miTī
jal-parī dekhte hī dekhte rū-posh huī
maiñ sitāda hī rahā maiñ ne na dekhā (afsos!)
kaise talvār chalī kaise zamīñ kā siina
ek lamhe ke liye chashme kī mānind banā
dāman-e-koh meñ istāda nahīñ huuñ is vaqt
jhāḌiyāñ silsila-e-koh nahīñ parda haiñ
jis ke us paar jhalaktā nazar aatā hai mujhe
manzar anjān, achhūtī sī dulhan kī sūrat
haañ tasavvur ko maiñ ab apne banā kar dūlhā
isī parde ke nihāñ-ḳhāne meñ le jā.ūñgā
kaise talvār chalī kaise zamīñ kā siina
dil-e-be-tāb kī mānind taḌap uTThā thā
ek be-sāḳhta andāz meñ bijlī kī tarah
jal-parī gosha-e-ḳhalvat se nikal aa.ī thii!
zindagī garm thī har buuñd meñ aabī pā.ūñ
ḳhushk pattoñ pe phisalte hue jā pahuñche the!
maiñ bhī maujūd thā ik kirmak-e-be-nām-o-nishāñ
maiñ ne dekhā ki ghaTā shaq huī dhārā niklī
barq-raftārī se ik tiir kamāñ ne chhoḌā
aur vo ḳham khā ke lachaktā huā tharrā ke girā
qulla-e-koh se girte hue patthar kī tarah
koī bhī rok na thī us ke liye us ke liye
ḳhushk pattoñ kā zamīñ par hī bichhā thā bistar
usī bistar pe vo anjān parī leT ga.ii!
aur maiñ kirmak-e-be-nām, ghaTā kī sūrat
isī ummīd meñ taktā rahā taktā hī rahā
ab isī vaqt koī jal kī parī aa jaa.e
bāñsurī haath meñ le kar maiñ gvālā ban jā.ūñ
jal-parī aa.e kahāñ se? vo isī bistar par
maiñ ne dekhā abhī āsūda huī leT ga.ī
lekin afsos ki maiñ ab bhī khaḌā huuñ tanhā
haath ālūda hai, nam-dār hai, dhundlī hai nazar,
haath se āñkhoñ ke aañsū to nahīñ poñchhe the!
ek hi pal ke liye baiTh ke phir uTh baiThi
aankh ne sirf ye dekha ki nashista but hai
ye basarat ko na thi tab ki wo dekh sake
kaise talwar chali, kaise zamin ka sina
ek lamhe ke liye chashme ki manind bana
pech khate hue ye lahr uThi dil mein mere
kash! ye jhaDiyan ek silsila-e-koh banen
daman-e-koh mein main ja ke sitada ho jaun
aisi anhoni jo ho jae to kyun ye bhi na ho
KHushk patton ka zamin par jo bichha hai bistar
wo bhi ek saz bane saz to hai saz to hai
naghma bedar hua tha jo abhi kan tere
kyun use sun na sake sunne se majbur rahe
parda-e-chashm ne sirf ek nashista but ko
zehn ke daera-e-KHas mein markuz kiya
yaad aata hai mujhe kan hue the bedar
KHushk patton se jab aai thi taDapne ki sada
aur daman ki har ek lahar chamak uTThi thi
paD raha tha usi talwar ka saya shayad
jo nikal aai thi ek pal mein nihan-KHane se
jaise be-saKHta andaz mein bijli chamke
lekin is daman-e-aluda ki har lahar miTi
jal-pari dekhte hi dekhte ru-posh hui
main sitada hi raha main ne na dekha (afsos!)
kaise talwar chali kaise zamin ka sina
ek lamhe ke liye chashme ki manind bana
daman-e-koh mein istada nahin hun is waqt
jhaDiyan silsila-e-koh nahin parda hain
jis ke us par jhalakta nazar aata hai mujhe
manzar anjaan, achhuti si dulhan ki surat
han tasawwur ko main ab apne bana kar dulha
isi parde ke nihan-KHane mein le jaunga
kaise talwar chali kaise zamin ka sina
dil-e-be-tab ki manind taDap uTTha tha
ek be-saKHta andaz mein bijli ki tarah
jal-pari gosha-e-KHalwat se nikal aai thi!
zindagi garm thi har bund mein aabi paun
KHushk patton pe phisalte hue ja pahunche the!
main bhi maujud tha ek kirmak-e-be-nam-o-nishan
main ne dekha ki ghaTa shaq hui dhaara nikli
barq-raftari se ek tir kaman ne chhoDa
aur wo KHam kha ke lachakta hua tharra ke gira
qulla-e-koh se girte hue patthar ki tarah
koi bhi rok na thi us ke liye us ke liye
KHushk patton ka zamin par hi bichha tha bistar
usi bistar pe wo anjaan pari leT gai!
aur main kirmak-e-be-nam, ghaTa ki surat
isi ummid mein takta raha takta hi raha
ab isi waqt koi jal ki pari aa jae
bansuri hath mein le kar main gwala ban jaun
jal-pari aae kahan se? wo isi bistar par
main ne dekha abhi aasuda hui leT gai
lekin afsos ki main ab bhi khaDa hun tanha
hath aaluda hai, nam-dar hai, dhundli hai nazar,
hath se aankhon ke aansu to nahin ponchhe the!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.