mazdur aurten
vo jā rahī haiñ saroñ pe patthar
uThā.e mazdūr aurteñ kuchh
ye khurdure haath maile paañv
jamī haiñ hoñToñ pe papḌiyāñ sī
aur pasīne meñ haiñ sharābor
sulagtī dopahar meñ vo mil kar
ek dīvār chun rahī haiñ
hisār-e-sañgīñ banegā koī
ye dekh kar haal un kā mujh ko
ḳhayāl rah rah ke aa rahā hai
kahāñ haiñ vo marmarīñ sī bāheñ
vo gudgude haath narm-o-nāzuk
vo gesū-e-ambarīñ-o-mushkīñ
vo tīr-e-mizhgāñ kamān-e-abrū
vo la.al lab aur vo rū-e-zebā
vo nāznīñ aurteñ kahāñ haiñ
vo mah-jabīñ aurteñ kahāñ haiñ
vo jin kī tārīf karte karte
adīb-o-shā.ir nahīñ haiñ thakte
wo ja rahi hain saron pe patthar
uThae mazdur aurten kuchh
ye khurdure hath maile panw
jami hain honTon pe papDiyan si
aur pasine mein hain sharabor
sulagti dopahar mein wo mil kar
ek diwar chun rahi hain
hisar-e-sangin banega koi
ye dekh kar haal un ka mujh ko
KHayal rah rah ke aa raha hai
kahan hain wo marmarin si bahen
wo gudgude hath narm-o-nazuk
wo gesu-e-ambarin-o-mushkin
wo tir-e-mizhgan kaman-e-abru
wo lal lab aur wo ru-e-zeba
wo naznin aurten kahan hain
wo mah-jabin aurten kahan hain
wo jin ki tarif karte karte
adib-o-shair nahin hain thakte
- Book : Zehrab (Pg. 35)
- Author : Fakhrezaman
- Publication : Idarah Eshat-e-adab, Gujrat (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.