mazdur be-chaara
hotā nahīñ dam-bhar bhī sukūñ us ko gavārā
jis ḳhātir-e-betāb kī fitrat hī hai paarā
mazlūm kī fariyād se jal jā.egā aalam
sad-shoa.la-ba-damāñ hai un aahoñ kā sharārā
ġham-dīdoñ ko de aish-o-tarab aur atā kar
tāj-e-sar-e-sultānī-e-taimūr gadā-rā
garmā de rageñ us kī imārat ke lahū se
jis hastī-e-be-māya kā ġhurbat hai sahārā
taḳhrīb ke bandoñ ko bas ab ho nahīñ saktī
insān kī insān se tafrīq gavārā
pāband sahī dahr meñ ā.īn-e-jahāñ ke
pīrān-e-kalīsā kā hai kyā us meñ ijārā
tahzīb-o-tamaddun haiñ imārat ke sahāre
mazdūr kī ġhurbat kā nahīñ koī sahārā
hota nahin dam-bhar bhi sukun us ko gawara
jis KHatir-e-betab ki fitrat hi hai para
mazlum ki fariyaad se jal jaega aalam
sad-shoala-ba-daman hai un aahon ka sharara
gham-didon ko de aish-o-tarab aur ata kar
taj-e-sar-e-sultani-e-taimur gada-ra
garma de ragen us ki imarat ke lahu se
jis hasti-e-be-maya ka ghurbat hai sahaara
taKHrib ke bandon ko bas ab ho nahin sakti
insan ki insan se tafriq gawara
paband sahi dahr mein aain-e-jahan ke
piran-e-kalisa ka hai kya us mein ijara
tahzib-o-tamaddun hain imarat ke sahaare
mazdur ki ghurbat ka nahin koi sahaara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.