mazdur
june kī garmī kaḌaktī dhuup lū chaltī huī
har ghaḌī mazdūr ke sar se qazā Taltī huī
sar pe gaare kī kaḌhā.ī aur dīvār-e-buland
hāñptā vo chaḌh rahā hai le ke himmat kī kamand
paaḌ par pahuñchā to ik gaalī sunī me.amār se
jī meñ aayā sar ko Takrā de usī dīvār se
haa.e us mazlūm kī majbūriyāñ nā-chāriyāñ
jaan kā āzār haiñ iflās kī bīmāriyāñ
dil meñ kahtā hai ki ye me.amār bhī mazdūr hai
phir yahī jān-e-hazīñ kyuuñ is qadar maqhūr hai
us kī ujrat mujh se dugunī hai magar kam hai shu.ūr
tamkanat kis baat par kis chiiz par itnā ġhurūr
maiñ agar nādār huuñ ye bhī nahīñ sarmāya-dār
bhuut vo hai kis baḌā.ī kā jo us par hai savār
iiñT gaarā maiñ na duuñ us ko to ye kis kaam kā
asl meñ me.amār maiñ huuñ ye faqat hai naam kā
merī himmat kah rahīñ haiñ kāḳh-e-dīvān-e-buland
aah is par bhī maiñ duniyā meñ huuñ itnā mustamand
lag gayā phir kaam meñ ye soch kar vo bad-nasīb
ai ḳhudā duniyā meñ itnā bhī na ho koī ġharīb
din Dhalā jis vaqt mālik bhī makāñ kā aa gayā
ik sukūt-e-marg sā dīvār-o-dar par chhā gayā
kāñptā rahtā hai har mazdūr jis ke naam se
sab usī dhun meñ the vo ḳhush ho hamāre kaam se
us kī peshānī pe lekin bal zarā aane lage
phan uThā kar tamkanat ke saañp lahrāne lage
sab se pahle us ne gaalī dī usī me.amār ko
apnī milkiyyat jo samjhā thā har ik dīvār ko
josh-e-naḳhvat se kahā us ne ki ai paajī la.iiñ
kal jahāñ tak thī ga.ī dīvār ab bhī hai vahīñ
kyā kiyā hai tū ne din-bhar meñ zarā mujh ko batā
yuuñ takabbur meñ vo aa kar jā.eza lene lagā
dil meñ vo mazdūr phir kahne lagā uf re ġhazab
jo bhī is duniyā meñ haiñ fir.aun haiñ vo sab ke sab
jis kā jis par bas chale pāmāl kartā hai use
ḳhud agar ḳhush-hāl hai bad-hāl kartā hai use
kyā kahūñ sarmāya-dāroñ ke sitam kī dāstāñ
dīda-e-mazdūr hai mazdūr se bhī ḳhūñfishāñ
jis kī lāThī us kī bhaiñs is misl ko sādiq samajh
ye samajh kar is ḳhudā-e-pāk ko rāziq samajh
june ki garmi kaDakti dhup lu chalti hui
har ghaDi mazdur ke sar se qaza Talti hui
sar pe gare ki kaDhai aur diwar-e-buland
hanpta wo chaDh raha hai le ke himmat ki kamand
paD par pahuncha to ek gali suni meamar se
ji mein aaya sar ko Takra de usi diwar se
hae us mazlum ki majburiyan na-chaariyan
jaan ka aazar hain iflas ki bimariyan
dil mein kahta hai ki ye meamar bhi mazdur hai
phir yahi jaan-e-hazin kyun is qadar maqhur hai
us ki ujrat mujh se duguni hai magar kam hai shuur
tamkanat kis baat par kis chiz par itna ghurur
main agar nadar hun ye bhi nahin sarmaya-dar
bhut wo hai kis baDai ka jo us par hai sawar
inT gara main na dun us ko to ye kis kaam ka
asl mein meamar main hun ye faqat hai nam ka
meri himmat kah rahin hain kaKH-e-diwan-e-buland
aah is par bhi main duniya mein hun itna mustamand
lag gaya phir kaam mein ye soch kar wo bad-nasib
ai KHuda duniya mein itna bhi na ho koi gharib
din Dhala jis waqt malik bhi makan ka aa gaya
ek sukut-e-marg sa diwar-o-dar par chha gaya
kanpta rahta hai har mazdur jis ke nam se
sab usi dhun mein the wo KHush ho hamare kaam se
us ki peshani pe lekin bal zara aane lage
phan uTha kar tamkanat ke sanp lahrane lage
sab se pahle us ne gali di usi meamar ko
apni milkiyyat jo samjha tha har ek diwar ko
josh-e-naKHwat se kaha us ne ki ai paji lain
kal jahan tak thi gai diwar ab bhi hai wahin
kya kiya hai tu ne din-bhar mein zara mujh ko bata
yun takabbur mein wo aa kar jaeza lene laga
dil mein wo mazdur phir kahne laga uf re ghazab
jo bhi is duniya mein hain firaun hain wo sab ke sab
jis ka jis par bas chale pamal karta hai use
KHud agar KHush-haal hai bad-haal karta hai use
kya kahun sarmaya-daron ke sitam ki dastan
dida-e-mazdur hai mazdur se bhi KHunfishan
jis ki laThi us ki bhains is misl ko sadiq samajh
ye samajh kar is KHuda-e-pak ko raaziq samajh
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 418)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.