mazdur ki bansuri
mazdūr haiñ ham, mazdūr haiñ ham, majbūr the ham, majbūr haiñ ham
insāniyat ke siine meñ ristā huā ik nāsūr haiñ ham
daulat kī āñkhoñ kā surma bantā hai hamārī haDDī se
mandir ke diye bhī jalte haiñ mazdūr kī pighlī charbī se
ham se bāzār kī raunaq hai, ham se chehroñ kī laalī hai
jaltā hai hamāre dil kā diyā duniyā kī sabhā ujyālī hai
daulat kī sevā karte haiñ Thukrā.e hue ham daulat ke
mazdūr haiñ ham, mazdūr haiñ ham sautele beTe qismat ke
sone kī chaTā.ī tak bhī nahīñ, ham zaat ke itne heTe haiñ
ye sejoñ par sone vaale shāyad bhagvān ke beTe haiñ
ham meñ nahīñ koī tabdīlī jaaḌe kī paalī rātoñ meñ
baisākh ke tapte mausam meñ, sāvan kī bharī barsātoñ meñ
kapḌe kī zarūrat hī kyā hai mazdūroñ ko, haivānoñ ko
kyā bahs hai, sardī garmī se lohe ke bane insānoñ ko
hone do charāġhāñ mahloñ meñ, kyā ham ko agar dīvālī hai
mazdūr haiñ ham, mazdūr haiñ ham, mazdūr kī duniyā kaalī hai
mazdūr ke bachche takte haiñ jab hasrat se dūkānoñ ko
mazdūr kā dil detā hai duā devtāoñ ko, bhagvānoñ ko
khāyā miTTī ke bartan meñ, so.e to bichhaune ko tarse
muḳhtāroñ par tanqīdeñ haiñ, be-chārgiyāñ majbūroñ kī
sūkhā chehra dahqānoñ kaa, zaḳhmī pīTheñ mazdūroñ kī
vo bhūkoñ ke an-dātā haiñ, haq un kā hai be-dād kareñ
ham kis darvāze par jaa.eñ kis se jā kar fariyād kareñ
bāzār-e-tamaddun bhī un kā duniyā-e-siyāsat bhī un kī
maz.hab kā irāda bhī un kaa, duniyā-e-siyāsat bhī un kī
pāband hameñ karne ke liye sau rāheñ nikālī jaatī haiñ
qānūn banā.e jaate haiñ, zanjīreñ Dhālī jaatī haiñ
phir bhī āġhāz kī shoḳhī meñ anjām dikhā.ī detā hai
ham chup haiñ lekin fitrat kā insāf duhā.ī detā hai
uTh baiThe añgḌā.ī le kar jo ġhaflat kā matvālā hai
ākāsh ke tevar kahte haiñ, tūfān phir aane vaalā hai
ik abr kā TukḌā aatā hai, ik abr kā TukḌā jaatā hai
yā ḳhvāb-e-pareshāñ duniyā kā bālā-e-fazā mañDlātā hai
chaltī hai zamāne meñ āñdhī shā.er ke tund ḳhayāloñ kī
is tez havā meñ ḳhair nahīñ hai ūñchī pagḌī vāloñ kī
ehsās-e-ḳhudī mazlūmoñ kā ab chauñk ke karvaT letā hai
jo vaqt ki aane vaalā hai dil us kī aahaT letā hai
tūfāñ kī lahreñ jaag uThīñ so kar apne gahvāre se
kuchh tinke shoḳhī karte haiñ sailāb ke sarkash dhāre se
mindīl saroñ se girtī hai aur paañv se roñdī jaatī hai
siine meñ ghaTāoñ kī bijlī, bechain hai kaundī jaatī hai
manzar kī kudūrat dho degī dhartī kī pyaas bujhā.egī
mausam ke ishāre kahte haiñ ye badlī kuchh barsā.egī
ye abr jo ghir kar aatā hai, gar aaj nahīñ kal barsegā
sab khet hare ho jā.eñge jab TuuT ke bādal barsegā
mazdur hain ham, mazdur hain ham, majbur the ham, majbur hain hum
insaniyat ke sine mein rista hua ek nasur hain hum
daulat ki aankhon ka surma banta hai hamari haDDi se
mandir ke diye bhi jalte hain mazdur ki pighli charbi se
hum se bazar ki raunaq hai, hum se chehron ki lali hai
jalta hai hamare dil ka diya duniya ki sabha ujyali hai
daulat ki sewa karte hain Thukrae hue hum daulat ke
mazdur hain ham, mazdur hain hum sautele beTe qismat ke
sone ki chaTai tak bhi nahin, hum zat ke itne heTe hain
ye sejon par sone wale shayad bhagwan ke beTe hain
hum mein nahin koi tabdili jaDe ki pali raaton mein
baisakh ke tapte mausam mein, sawan ki bhari barsaton mein
kapDe ki zarurat hi kya hai mazduron ko, haiwanon ko
kya bahs hai, sardi garmi se lohe ke bane insanon ko
hone do charaghan mahlon mein, kya hum ko agar diwali hai
mazdur hain ham, mazdur hain ham, mazdur ki duniya kali hai
mazdur ke bachche takte hain jab hasrat se dukanon ko
mazdur ka dil deta hai dua dewtaon ko, bhagwanon ko
khaya miTTi ke bartan mein, soe to bichhaune ko tarse
muKHtaron par tanqiden hain, be-chaargiyan majburon ki
sukha chehra dahqanon ka, zaKHmi piThen mazduron ki
wo bhukon ke an-data hain, haq un ka hai be-dad karen
hum kis darwaze par jaen kis se ja kar fariyaad karen
bazar-e-tamaddun bhi un ka duniya-e-siyasat bhi un ki
mazhab ka irada bhi un ka, duniya-e-siyasat bhi un ki
paband hamein karne ke liye sau rahen nikali jati hain
qanun banae jate hain, zanjiren Dhaali jati hain
phir bhi aaghaz ki shoKHi mein anjam dikhai deta hai
hum chup hain lekin fitrat ka insaf duhai deta hai
uTh baiThe angDai le kar jo ghaflat ka matwala hai
aakash ke tewar kahte hain, tufan phir aane wala hai
ek abr ka TukDa aata hai, ek abr ka TukDa jata hai
ya KHwab-e-pareshan duniya ka baala-e-faza manDlata hai
chalti hai zamane mein aandhi shaer ke tund KHayalon ki
is tez hawa mein KHair nahin hai unchi pagDi walon ki
ehsas-e-KHudi mazlumon ka ab chaunk ke karwaT leta hai
jo waqt ki aane wala hai dil us ki aahaT leta hai
tufan ki lahren jag uThin so kar apne gahware se
kuchh tinke shoKHi karte hain sailab ke sarkash dhaare se
mindil saron se girti hai aur panw se rondi jati hai
sine mein ghaTaon ki bijli, bechain hai kaundi jati hai
manzar ki kudurat dho degi dharti ki pyas bujhaegi
mausam ke ishaare kahte hain ye badli kuchh barsaegi
ye abr jo ghir kar aata hai, gar aaj nahin kal barsega
sab khet hare ho jaenge jab TuT ke baadal barsega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.