mazdur laDki
vo ik mazdūr laḌkī hai
bahut āsān hai mere liye us ko manā lenā
zarā ārāsta ho luuñ
mirā ā.īna kahtā hai
kisī sab se baḌe but-sāz kā shahkār huuñ goyā
maiñ shahroñ ke tabassum-pāsh nazzāroñ kā paalā huuñ
maiñ parvarda huuñ bāroñ qahva-ḳhānoñ kī fazāoñ kā
maiñ jab shahroñ kī rañgīñ titliyoñ ko chheḌ letā huuñ
maiñ jab ārāsta ḳhalvat-kadoñ kī mez par jā kar
sharāboñ se bhī ḳhush-rañg phūloñ ko apnā hī letā huuñ
to phir ik gaañv kī paalī huī ma.asūm sī laḌkī
mire bas meñ na aa.egī
bhalā ye kaise mumkin hai?
aur
phir aise meñ jab maiñ chāhtā huuñ pyaar kartā huuñ
zarā baiTho
maiñ dariyā ke kināre
dhaan ke khetoñ meñ ho aa.uuñ
yahī mausam hai
jab dhartī se ham roTī ugāte haiñ
tumheñ taklīf to hogī
hamāre jhoñpaḌoñ meñ chārpā.ī bhī nahīñ hotī
nahīñ maiñ ruk ga.ī
to dhaan tak paanī na aa.egā
hamāre gaañv meñ
barsāt hī to ek mausam hai
ki jab ham
saal bhar ke vāste kuchh kaam karte haiñ
idhar baiTho
parā.ī laḌkiyoñ ko is tarah dekhā nahīñ karte
ye lipstick
ye powder
aur ye scarf
kyā hogā
mujhe khetoñ meñ mazdūrī se fursat hī nahīñ miltī
mire hoñToñ pe ghanToñ buuñd paanī kī nahīñ paḌtī
mire chehre mire baazū pe lū aur dhuup rahtī hai
gale meñ sirf pītal kā ye chandan haar kaafī hai
havā meñ dilkashī hai
aur fazā sonā luTātī hai
mujhe un se aqīdat hai
yahī merī matā.a merī nemat hai
bahut mamnūn huuñ lekin
huzūr aap apne tohfe
shahr kī pariyoñ meñ le jaa.eñ
wo ek mazdur laDki hai
bahut aasan hai mere liye us ko mana lena
zara aarasta ho lun
mera aaina kahta hai
kisi sab se baDe but-saz ka shahkar hun goya
main shahron ke tabassum-pash nazzaron ka pala hun
main parwarda hun baron qahwa-KHanon ki fazaon ka
main jab shahron ki rangin titliyon ko chheD leta hun
main jab aarasta KHalwat-kadon ki mez par ja kar
sharabon se bhi KHush-rang phulon ko apna hi leta hun
to phir ek ganw ki pali hui masum si laDki
mere bas mein na aaegi
bhala ye kaise mumkin hai?
aur
phir aise mein jab main chahta hun pyar karta hun
zara baiTho
main dariya ke kinare
dhan ke kheton mein ho aaun
yahi mausam hai
jab dharti se hum roTi ugate hain
tumhein taklif to hogi
hamare jhonpaDon mein chaarpai bhi nahin hoti
nahin main ruk gai
to dhan tak pani na aaega
hamare ganw mein
barsat hi to ek mausam hai
ki jab hum
sal bhar ke waste kuchh kaam karte hain
idhar baiTho
parai laDkiyon ko is tarah dekha nahin karte
ye lipstick
ye powder
aur ye scarf
kya hoga
mujhe kheton mein mazduri se fursat hi nahin milti
mere honTon pe ghanTon bund pani ki nahin paDti
mere chehre mere bazu pe lu aur dhup rahti hai
gale mein sirf pital ka ye chandan haar kafi hai
hawa mein dilkashi hai
aur faza sona luTati hai
mujhe un se aqidat hai
yahi meri mataa meri nemat hai
bahut mamnun hun lekin
huzur aap apne tohfe
shahr ki pariyon mein le jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.