pahaDon ke beTe
mire des kī un zamīnoñ ke beTe jahāñ sirf be-barg patthar haiñ sadiyoñ se tanhā
jahāñ sirf be-mehr mausam haiñ aur ek dardoñ kā sailāb hai umr-paimā
pahāḌoñ ke beTe
chamelī kī nikhrī huī pañkhuḌiyāñ sañg-e-ḳhārā ke reze
sajal dūdhiyā narm jism aur kaḌe khurdure sāñvle dil
shuāoñ havāoñ ke zaḳhmī
chaTānoñ se gir kar ḳhud apne hī qadmoñ kī miTTī meñ apnā vatan DhūñDte haiñ
vatan Dher ik an-mañjhe bartanoñ kā
jise zindagī ke pasīnoñ meñ Duubī huī mehnateñ dar-ba-dar DhūñDhtī haiñ
vatan vo musāfir añdherā
jo ūñche pahāḌoñ se girtī huī naddiyoñ ke kināroñ pe shādāb shahroñ meñ ruk kar
kisī āhanī chhat se uThtā dhuāñ ban gayā hai
nadī bhī zar-afshāñ dhuāñ bhī zar-afshāñ
magar pāniyoñ aur pasīnoñ ke anmol dhāre meñ jis dard kī mauj hai umr-paimā
zamīroñ ke qātil agar us ko parkheñ
to sīnoñ meñ kaalī chaTāneñ pighal jā.eñ!
mere des ki un zaminon ke beTe jahan sirf be-barg patthar hain sadiyon se tanha
jahan sirf be-mehr mausam hain aur ek dardon ka sailab hai umr-paima
pahaDon ke beTe
chameli ki nikhri hui pankhuDiyan sang-e-KHara ke reze
sajal dudhiya narm jism aur kaDe khurdure sanwle dil
shuaon hawaon ke zaKHmi
chaTanon se gir kar KHud apne hi qadmon ki miTTi mein apna watan DhunDte hain
watan Dher ek an-manjhe bartanon ka
jise zindagi ke pasinon mein Dubi hui mehnaten dar-ba-dar DhunDhti hain
watan wo musafir andhera
jo unche pahaDon se girti hui naddiyon ke kinaron pe shadab shahron mein ruk kar
kisi aahani chhat se uThta dhuan ban gaya hai
nadi bhi zar-afshan dhuan bhi zar-afshan
magar paniyon aur pasinon ke anmol dhaare mein jis dard ki mauj hai umr-paima
zamiron ke qatil agar us ko parkhen
to sinon mein kali chaTanen pighal jaen!
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 407)
- Author : Majiid Amjad
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.