yakum may
ye may kī pahlī, din hai banda-e-mazdūr kā
muddatoñ ke ba.ad dekhā is ne jalva huur kā
ye jo rishta-dār thā ham sab kā lekin duur kā
mill ke mālik ne ise rutba diyā mansūr kā
jab lagāyā haq kā na.ara daar par khīñchā gayā
naḳhl-e-san.at is ke ḳhuuñ kī dhaar par sīñchā gayā
aaj labour-union meñ shādmānī aa.ī hai
aaj mazdūroñ ko yaad apnī javānī aa.ī hai
mil ke mālik ko magar yaad apnī naanī aa.ī hai
yā ilāhī kyā balā-e-āsmānī aa.ī hai
sunte haiñ mazdūr se mālik kā mohra piT gayā
''ek jā harf-e-vafā likkhā thā vo bhī miT gayā''
hotā hai 'may-day' kā aur 'may-poll' kā jab intizām
nāchte haiñ baañs ke gird aa ke europī avaam
lekin ab nāchegā vo zālim ki jo hai bad-lagām
baañs ke bal par dikhā.e jaise bandar apnā kaam
vo jo pahle thā kabhī bandar madārī ban gayā
ya.anī mazdūr afsar-e-sarmāya-kārī ban gayā
ba.az aise the jo sarmā.e ke Thekedār the
kahte the mazdūr ko ḳhar aur ḳhud ḳhar-kār the
chor-bāzārī kī jaḌ the aur baḌe baT-mār the
naf.a-ḳhorī ke sivā har kaam se bezār the
ab halaq meñ un ke jo khāyā aTak kar jā.egā
ġhair-mulkoñ meñ na sarmāya bhaTak kar jā.egā
pūchho in sarmāya-dāroñ se ki kab jāgoge tum
yā yūñhī piite rahoge be-muravvat mai ke ḳhum
dekho har saal aa.egī māh-e-may kī ye yakum
sunte haiñ sīdhī nahīñ hotī kabhī kutte kī dum
tum magar rakhte ho ek insān kī nok aur palak
''be-niyāzī had se guzrī banda-parvar kab talak''
qābil-e-izzat haiñ is duniyā ke mehnat-kash avaam
mulk kī daulat haiñ ye, vājib hai in kā ehtirām
us ke ye member haiñ labour-union hai jis kā naam
in kī mehnat ke diye jā.eñge in ko puure daam
ye nahīñ hogā ḳhafā ho kar dihāḌī kaaT dī
aadhe raste laa.e aur engine se gaaḌī kaaT dī
ye may ki pahli, din hai banda-e-mazdur ka
muddaton ke baad dekha is ne jalwa hur ka
ye jo rishta-dar tha hum sab ka lekin dur ka
mill ke malik ne ise rutba diya mansur ka
jab lagaya haq ka nara dar par khincha gaya
naKHl-e-sanat is ke KHun ki dhaar par sincha gaya
aaj labour-union mein shadmani aai hai
aaj mazduron ko yaad apni jawani aai hai
mil ke malik ko magar yaad apni nani aai hai
ya ilahi kya bala-e-asmani aai hai
sunte hain mazdur se malik ka mohra piT gaya
ek ja harf-e-wafa likkha tha wo bhi miT gaya
hota hai 'may-day' ka aur 'may-poll' ka jab intizam
nachte hain bans ke gird aa ke europi awam
lekin ab nachega wo zalim ki jo hai bad-lagam
bans ke bal par dikhae jaise bandar apna kaam
wo jo pahle tha kabhi bandar madari ban gaya
yani mazdur afsar-e-sarmaya-kari ban gaya
baz aise the jo sarmae ke Thekedar the
kahte the mazdur ko KHar aur KHud KHar-kar the
chor-bazari ki jaD the aur baDe baT-mar the
nafa-KHori ke siwa har kaam se bezar the
ab halaq mein un ke jo khaya aTak kar jaega
ghair-mulkon mein na sarmaya bhaTak kar jaega
puchho in sarmaya-daron se ki kab jagoge tum
ya yunhi pite rahoge be-murawwat mai ke KHum
dekho har sal aaegi mah-e-may ki ye yakum
sunte hain sidhi nahin hoti kabhi kutte ki dum
tum magar rakhte ho ek insan ki nok aur palak
be-niyazi had se guzri banda-parwar kab talak
qabil-e-izzat hain is duniya ke mehnat-kash awam
mulk ki daulat hain ye, wajib hai in ka ehtiram
us ke ye member hain labour-union hai jis ka nam
in ki mehnat ke diye jaenge in ko pure dam
ye nahin hoga KHafa ho kar dihaDi kaT di
aadhe raste lae aur engine se gaDi kaT di
- Book : Teer-e-Neem Kash (Pg. 166)
- Author : sayed Zameer jafary
- Publication : dost publications (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.