Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaum-e-mazdur

Neel Ahmed

yaum-e-mazdur

Neel Ahmed

MORE BYNeel Ahmed

    dīvār pe mazdūr tasvīr sajā kar

    aḳhbār ke kone meñ ḳhabar ek lagā kar

    kuchh card bhī mazdūr ke hāthoñ meñ uThā kar

    do-chār ġharīboñ ko bhī dhartī pe biThā kar

    un meñ se kisī ek ko stage par kar

    phir us kahānī sabhī logoñ ko sunā kar

    taqrīr karā kar to kabhī taalī bajā kar

    mazdūr ko mazdūr irfān dilā kar

    aur apne ta.iiñ kār-e-muqaddas ko nibhā kar

    har saal ye ehsān jatāte haiñ baḌe log

    mazdūr phir jashn manāte haiñ baḌe log

    diwar pe mazdur ki taswir saja kar

    aKHbar ke kone mein KHabar ek laga kar

    kuchh card bhi mazdur ke hathon mein uTha kar

    do-chaar gharibon ko bhi dharti pe biTha kar

    un mein se kisi ek ko stage par la kar

    phir us ki kahani sabhi logon ko suna kar

    taqrir kara kar to kabhi tali baja kar

    mazdur ko mazdur ka irfan dila kar

    aur apne tain kar-e-muqaddas ko nibha kar

    har sal ye ehsan jatate hain baDe log

    mazdur ka phir jashn manate hain baDe log

    related content

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now