Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn aur mazduri

Josh Malihabadi

husn aur mazduri

Josh Malihabadi

MORE BYJosh Malihabadi

    ek doshīza saḌak par dhuup meñ hai be-qarār

    chūḌiyāñ bajtī haiñ kañkar kūTne meñ baar baar

    chūḌiyoñ ke saaz meñ ye soz hai kaisā bharā

    aañkh meñ aañsū banī jaatī hai jis har sadā

    gard hai ruḳhsār par zulfeñ aTī haiñ ḳhaak meñ

    nāzukī bal khā rahī hai dīda-e-ġhamnāk meñ

    ho rahā hai jazb mahr-e-ḳhūñ-chakāñ ke rū-ba-rū

    kañkaroñ nabz meñ uThtī javānī lahū

    dhuup meñ lahrā rahī hai kākul-e-ambar-sarisht

    ho rahā hai kam-sinī loch juzv-e-sañg-o-ḳhisht

    rahī haiñ surḳh kirneñ mahr-e-ātish-bār

    nargisī āñkhoñ ras mai champa.ī ruḳhsār

    ġham ke bādal ḳhātir-e-nāzuk pe haiñ chhā.e hue

    āriz-e-rañgīñ haiñ do phuul murjhā.e hue

    chīthaḌoñ meñ dīdanī hai rū-e-ġhamgīn-e-shabāb

    abr ke āvāra TukḌoñ meñ ho jaise māhtāb

    uf ye nādārī mire siine se uThtā hai dhuāñ

    aah ai aflās ke maare hue hindostāñ!

    husn ho majbūr kañkar toḌne ke vāste

    dast-e-nāzuk aur patthar toḌne ke vāste

    fikr se jhuk jaa.e vo gardan tuf ai lail o nahār

    jis meñ honā chāhiye phūloñ ik halkā haar

    āsmāñ jān-e-tarab ko vaqf-e-rañjūrī kare

    sinf-e-nāzuk bhuuk se tañg aa ke mazdūrī kare

    us jabīñ par aur pasīna ho jhalakne ke liye

    jo jabīn-e-nāz ho afshāñ chhiḌakne ke liye

    bhiik meñ vo haath uTTheñ iltijā ke vāste

    jin ko qudarat ne banāyā ho hinā ke vāste

    nāzukī se jo uThā saktī na ho kājal baar

    un subuk palkoñ pe baiThe raah bojhal ġhubār

    kyuuñ falak majbūr hoñ aañsū bahāne ke liye

    añkhḌiyāñ hoñ jo diloñ meñ Duub jaane ke liye

    muflisī chhāñTe use qahr-o-ġhazab ke vāste

    jis mukhḌā ho shabistān-e-tarab ke vāste

    fart-e-ḳhushkī se vo lab tarseñ takallum ke liye

    jin ko qudarat ne tarāshā ho tabassum ke liye

    nāznīnoñ ye aalam māthar-e-hind aah aah

    kis ke jaur-e-nā-ravā ne kar diyā tujh ko tabāh?

    hun barastā thā kabhī din raat terī ḳhaak par

    sach batā ai hind tujh ko khā ga.ī kis nazar

    baaġh terā kyuuñ jahannam namūna ho gayā

    aah kyuuñ terā bharā darbār suunā ho gayā

    sar-barahna kyuuñ hai vo phūloñ chādar kyā huī

    ai shab-e-tārīk terī bazm-e-aḳhtar kyā huī

    jis ke aage thā qamar rañg phīkā kyā huā

    ai urūs-e-nau tire māthe Tiikā kyā huā

    ai ḳhudā hindostāñ par ye nahūsat tā-kujā?

    āḳhir is jannat pe dozaḳh hukūmat tā-kujā?

    gardan-e-haq par ḳharāsh-e-teġh-e-bātil tā-ba-kai?

    ahl-e-dil ke vāste tauq-o-salāsil tā-ba-kai?

    sar-zamīn-e-rañg-o-bū par aks-e-gulḳhan tā-kujā?

    paak siitā ke liye zindān-e-rāvan tā-kujā?

    dast-e-nāzuk ko rasan se ab chhuḌānā chāhiye

    is kalā.ī meñ to kañgan jagmagānā chāhiye

    ek doshiza saDak par dhup mein hai be-qarar

    chuDiyan bajti hain kankar kuTne mein bar bar

    chuDiyon ke saz mein ye soz hai kaisa bhara

    aankh mein aansu bani jati hai jis ki har sada

    gard hai ruKHsar par zulfen aTi hain KHak mein

    nazuki bal kha rahi hai dida-e-ghamnak mein

    ho raha hai jazb mahr-e-KHun-chakan ke ru-ba-ru

    kankaron ki nabz mein uThti jawani ka lahu

    dhup mein lahra rahi hai kakul-e-ambar-sarisht

    ho raha hai kam-sini ka loch juzw-e-sang-o-KHisht

    pi rahi hain surKH kirnen mahr-e-atish-bar ki

    nargisi aankhon ka ras mai champai ruKHsar ki

    gham ke baadal KHatir-e-nazuk pe hain chhae hue

    aariz-e-rangin hain ya do phul murjhae hue

    chithaDon mein didani hai ru-e-ghamgin-e-shabab

    abr ke aawara TukDon mein ho jaise mahtab

    uf ye nadari mere sine se uThta hai dhuan

    aah ai aflas ke mare hue hindostan!

    husn ho majbur kankar toDne ke waste

    dast-e-nazuk aur patthar toDne ke waste

    fikr se jhuk jae wo gardan tuf ai lail o nahaar

    jis mein hona chahiye phulon ka ek halka sa haar

    aasman jaan-e-tarab ko waqf-e-ranjuri kare

    sinf-e-nazuk bhuk se tang aa ke mazduri kare

    us jabin par aur pasina ho jhalakne ke liye

    jo jabin-e-naz ho afshan chhiDakne ke liye

    bhik mein wo hath uTThen iltija ke waste

    jin ko qudarat ne banaya ho hina ke waste

    nazuki se jo uTha sakti na ho kajal ka bar

    un subuk palkon pe baiThe rah ka bojhal ghubar

    kyun falak majbur hon aansu bahane ke liye

    ankhDiyan hon jo dilon mein Dub jaane ke liye

    muflisi chhanTe use qahr-o-ghazab ke waste

    jis ka mukhDa ho shabistan-e-tarab ke waste

    fart-e-KHushki se wo lab tarsen takallum ke liye

    jin ko qudarat ne tarasha ho tabassum ke liye

    nazninon ka ye aalam mathar-e-hind aah aah

    kis ke jaur-e-na-rawa ne kar diya tujh ko tabah?

    hun barasta tha kabhi din raat teri KHak par

    sach bata ai hind tujh ko kha gai kis ki nazar

    bagh tera kyun jahannam ka namuna ho gaya

    aah kyun tera bhara darbar suna ho gaya

    sar-barahna kyun hai wo phulon ki chadar kya hui

    ai shab-e-tarik teri bazm-e-aKHtar kya hui

    jis ke aage tha qamar ka rang phika kya hua

    ai urus-e-nau tere mathe ka Tika kya hua

    ai KHuda hindostan par ye nahusat ta-kuja?

    aaKHir is jannat pe dozaKH ki hukumat ta-kuja?

    gardan-e-haq par KHarash-e-tegh-e-baatil ta-ba-kai?

    ahl-e-dil ke waste tauq-o-salasil ta-ba-kai?

    sar-zamin-e-rang-o-bu par aks-e-gulKHan ta-kuja?

    pak sita ke liye zindan-e-rawan ta-kuja?

    dast-e-nazuk ko rasan se ab chhuDana chahiye

    is kalai mein to kangan jagmagana chahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now