lachhman rekha
hathelī kī lakīroñ par
gramophone kī suuī ghumā kar
mast haiñ
sar dhun rahe haiñ
aa.ine chup-chāp haiñ
kaalī shabīheñ
band āñkhoñ meñ chamaktī haiñ yahāñ
ab surḳh-rū ho kar
yahāñ maiñ duur se
in surma.ī lahroñ ke pīchhe bhaag kar
aaya thā
lekin ab mare talvoñ ko
chiknī kaa.ī kī
ye maḳhmalī narmī bhī chubhtī hai
agar maiñ lauTnā chāhūñ to raste meñ
vahī dhuñdlī hathelī kī lakīreñ haiñ
vahī lachhman kī rekhā hai
hatheli ki lakiron par
gramophone ki sui ghuma kar
mast hain
sar dhun rahe hain
aaine chup-chap hain
kali shabihen
band aankhon mein chamakti hain yahan
ab surKH-ru ho kar
yahan main dur se
in surmai lahron ke pichhe bhag kar
aaya tha
lekin ab mare talwon ko
chikni kai ki
ye maKHmali narmi bhi chubhti hai
agar main lauTna chahun to raste mein
wahi dhundli hatheli ki lakiren hain
wahi lachhman ki rekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.