laDaku chiDa
mere kamre ke baḌe taaq meñ ik ā.īna
sūrateñ sab ko dikhāne ke liye rakkhā hai
sāmne aa.ine ke baiTh ke roz ek chiḌā
jaane kyuuñ aks se apne hī laḌā kartā hai
kabhī panjoñ se kabhī choñch se hamle kar ke
ye samajhtā hai use jiit yaqīnī hogī
is himāqat se agar baaz nahīñ aa.egā
choñch kyā us kī to rag rag kabhī zaḳhmī hogī
jab koī kaam na hogā use laḌne ke sivā
saañs bhī le na sakegā kabhī be-ḳhauf-o-hirās
phir kisī din ye tamāshā bhī nazar aa.egā
nannhī sī laash paḌī hogī us aa.ine ke paas
sochtā huuñ ki mire mulk ke lākhoñ bachche
roz aapas meñ isī tarah laḌā karte haiñ
fā.eda is se kisī ko bhī nahīñ hotā hai
kuchh na kuchh apnā hī nuqsān kiyā karte haiñ
yahī aadat jo banā lī to vo din bhī hai qarīb
chain se rah na sakeñge ye laḌā.ī ke baġhair
koī bhī paas se guzrā to ḳhushī kā kyā zikr
kuchh bhī to kah na sakeñge ye laḌā.ī ke baġhair
be-sabab laḌne ke jazbe ko jo rokā na gayā
log aaqil hoñ ki nādān laḌe jā.eñge
apnī fitrat hī banā leñge jo bāham laḌnā
jānvar hoñ ki hoñ insān laḌe jā.eñge
vo muḳhālif na sahī apnā koī aks sahī
mil hī jā.egā unheñ koī jhagaḌne ke liye
aa.ine sāmne rakh kar yahī sarkash bachche
baiTh jā.eñge har ik sub.h ko laḌne ke liye
sab rahe jā.eñge aapas meñ agar mil-jul kar
har jagah mulk meñ gulzār nazar ā.eñge
aur agar buġhz-o-adāvat kā yahī josh rahā
jā-ba-jā lāshoñ ke ambār nazar ā.eñge
mere kamre ke baDe taq mein ek aaina
suraten sab ko dikhane ke liye rakkha hai
samne aaine ke baiTh ke roz ek chiDa
jaane kyun aks se apne hi laDa karta hai
kabhi panjon se kabhi chonch se hamle kar ke
ye samajhta hai use jit yaqini hogi
is himaqat se agar baz nahin aaega
chonch kya us ki to rag rag kabhi zaKHmi hogi
jab koi kaam na hoga use laDne ke siwa
sans bhi le na sakega kabhi be-KHauf-o-hiras
phir kisi din ye tamasha bhi nazar aaega
nannhi si lash paDi hogi us aaine ke pas
sochta hun ki mere mulk ke lakhon bachche
roz aapas mein isi tarah laDa karte hain
faeda is se kisi ko bhi nahin hota hai
kuchh na kuchh apna hi nuqsan kiya karte hain
yahi aadat jo bana li to wo din bhi hai qarib
chain se rah na sakenge ye laDai ke baghair
koi bhi pas se guzra to KHushi ka kya zikr
kuchh bhi to kah na sakenge ye laDai ke baghair
be-sabab laDne ke jazbe ko jo roka na gaya
log aaqil hon ki nadan laDe jaenge
apni fitrat hi bana lenge jo baham laDna
jaanwar hon ki hon insan laDe jaenge
wo muKHalif na sahi apna koi aks sahi
mil hi jaega unhen koi jhagaDne ke liye
aaine samne rakh kar yahi sarkash bachche
baiTh jaenge har ek subh ko laDne ke liye
sab rahe jaenge aapas mein agar mil-jul kar
har jagah mulk mein gulzar nazar aaenge
aur agar bughz-o-adawat ka yahi josh raha
ja-ba-ja lashon ke ambar nazar aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.