laDki ke aansu
sab se ziyāda aañsū hote haiñ
ek laḌkī ke paas
us ke andar
ek barfānī silsila hai
mard
ek garm havā hai
us ke chalte hī
barf pighalne lagtī hai
laḌkī
apne aañsū
kabhī dūsroñ meñ nahīñ bāñTtī
us ke aañsū
tahlīl ho kar
phir se barfānī sat.h pe aa jaate haiñ
muskurātī huī laḌkī bhī
āñsuoñ se bharī huī hotī hai
us ke āñsuoñ tak
abhī garm havā nahīñ pahuñchī
sab se ziyaada aansu hote hain
ek laDki ke pas
us ke andar
ek barfani silsila hai
mard
ek garm hawa hai
us ke chalte hi
barf pighalne lagti hai
laDki
apne aansu
kabhi dusron mein nahin banTti
us ke aansu
tahlil ho kar
phir se barfani sath pe aa jate hain
muskuraati hui laDki bhi
aansuon se bhari hui hoti hai
us ke aansuon tak
abhi garm hawa nahin pahunchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.