laDkiyan
laḌkiyāñ ghar meñ parindoñ kī tarah hotī haiñ
ek din shāḳh se uḌ jaatī haiñ
aur māñ-bāp ko taḌpātī haiñ
laḌkiyāñ khilte gulāboñ kī tarah hotī haiñ
āñganoñ aur dar-o-dīvār ko mahkātī haiñ
sej par ajnabī dam-sāz kī bichh jaatī haiñ
laḌkiyāñ qissoñ kī pariyoñ kī tarah hotī haiñ
ḳhvāb ban kar kabhī āñkhoñ meñ samā jaatī haiñ
āñkhoñ se dil meñ utar jaatī haiñ
laḌkiyāñ shīsha-o-sāġhar kī tarah hotī haiñ
ḳhud bahaktī nahīñ bahkātī haiñ
Thes lagte hī chhalak jaatī haiñ
laḌkiyāñ mom kī mūrat kī tarah hotī haiñ
lams kī aañch se bāñhoñ meñ pighal jaatī haiñ
aur kabhī zinda bhī jal jaatī haiñ
laḌkiyāñ mehñdī ke pattoñ kī tarah hotī haiñ
pistī jaatī haiñ magar rang hī chhalkātī haiñ
kabhī bāzār meñ bik jaatī haiñ
laḌkiyāñ band kitāboñ kī tarah hotī haiñ
in ko paḌhiye to sahīfoñ kā gumāñ hotā hai
phir magar niiñd kahāñ chain kahāñ hotā hai
laDkiyan ghar mein parindon ki tarah hoti hain
ek din shaKH se uD jati hain
aur man-bap ko taDpati hain
laDkiyan khilte gulabon ki tarah hoti hain
aanganon aur dar-o-diwar ko mahkati hain
sej par ajnabi dam-saz ki bichh jati hain
laDkiyan qisson ki pariyon ki tarah hoti hain
KHwab ban kar kabhi aankhon mein sama jati hain
aankhon se dil mein utar jati hain
laDkiyan shisha-o-saghar ki tarah hoti hain
KHud bahakti nahin bahkati hain
Thes lagte hi chhalak jati hain
laDkiyan mom ki murat ki tarah hoti hain
lams ki aanch se banhon mein pighal jati hain
aur kabhi zinda bhi jal jati hain
laDkiyan mehndi ke patton ki tarah hoti hain
pisti jati hain magar rang hi chhalkati hain
kabhi bazar mein bik jati hain
laDkiyan band kitabon ki tarah hoti hain
in ko paDhiye to sahifon ka guman hota hai
phir magar nind kahan chain kahan hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.