laDna Thik nahin
ḳhargosh ne
nādānī meñ
kājal ghol diyā
paanī meñ
niilī jhiil meñ
kaalā paanī
kaalī hogī machhlī raanī
bagule ko bhī pahuñchā sadma
ḳhargoshoñ par
kiyā muqaddama
ye achchhī tahrīk nahīñ hai
laḌnā-bhiḌnā Thiik nahīñ hai
kachhve-jī kā kahnā maano
aapas meñ samjhautā kar lo
KHargosh ne
nadani mein
kajal ghol diya
pani mein
nili jhil mein
kala pani
kali hogi machhli rani
bagule ko bhi pahuncha sadma
KHargoshon par
kiya muqaddama
ye achchhi tahrik nahin hai
laDna-bhiDna Thik nahin hai
kachhwe-ji ka kahna mano
aapas mein samjhauta kar lo
- Book : kamaan(sheri kulliyat (jild avval) (Pg. 439)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.