Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lafzon ka alamiya

Makhmoor Saeedi

lafzon ka alamiya

Makhmoor Saeedi

MORE BYMakhmoor Saeedi

    na.e-na.e lafz shor karte

    baḌhe chale aa rahe haiñ

    fikr-o-ḳhayāl rahguzār ābād ho rahī hai

    zabāñ bahut purānī had-bandiyoñ se āzād ho rahī hai

    ka.ī fasāne jo an-kahe the ka.ī tasavvur jo be-zabāñ the

    hazār-hā soz-o-sāz aise jo pahle nā-qābil-e-bayāñ the

    vo dhaḌkaneñ ḳhāmushī jin ke ḳharosh-e-pinhāñ tarjumāñ thī

    vo naġhmagī jo ḳhamoshiyoñ ke siyāh-zindāñ meñ par-fishāñ thī

    use ab āḳhir khulī fazāoñ meñ izn-e-parvāz mil gayā hai

    ki ik nayā rishta darmiyān-e-ḳhayāl-o-āvāz mil gayā hai

    magar mujhe chup lag ga.ī hai

    na.e-na.e lafz shor karte baḌhe chale aa rahe haiñ

    aur maiñ

    hujūm-e-pur-shor meñ akelā

    purāne lafzoñ ko DhūñDhtā huuñ

    ye dekhtā huuñ

    jahāñ-jahāñ kal purāne lafzoñ ne Daal rakkhe the apne Dere

    vahāñ na.e lafz aa ke ābād ho ga.e haiñ

    makāñ agarche ujaḌ na paa.e makīn barbād ho ga.e haiñ

    na.e-na.e lafz shor karte baḌhe chale aa rahe haiñ

    lekin

    purāne lafzoñ pā.imālī ne dam-ba-ḳhud kar diyā hai mujh ko

    kisī ne sochā nahīñ hai shāyad magar maiñ aksar ye sochtā huuñ

    purāne lafzoñ ke saath ik purānī duniyā bhī kho ga.ī hai

    ḳhamoshiyoñ ke siyāh-zindāñ meñ ke rū-posh ho ga.ī hai

    nae-nae lafz shor karte

    baDhe chale aa rahe hain

    fikr-o-KHayal ki rahguzar aabaad ho rahi hai

    zaban bahut si purani had-bandiyon se aazad ho rahi hai

    kai fasane jo an-kahe the kai tasawwur jo be-zaban the

    hazar-ha soz-o-saz aise jo pahle na-qabil-e-bayan the

    wo dhaDkanen KHamushi hi jin ke KHarosh-e-pinhan ki tarjuman thi

    wo naghmagi jo KHamoshiyon ke siyah-zindan mein par-fishan thi

    use ab aaKHir khuli fazaon mein izn-e-parwaz mil gaya hai

    ki ek naya rishta darmiyan-e-KHayal-o-awaz mil gaya hai

    magar mujhe chup si lag gai hai

    nae-nae lafz shor karte baDhe chale aa rahe hain

    aur main

    hujum-e-pur-shor mein akela

    purane lafzon ko DhunDhta hun

    ye dekhta hun

    jahan-jahan kal purane lafzon ne Dal rakkhe the apne Dere

    wahan nae lafz aa ke aabaad ho gae hain

    makan agarche ujaD na pae makin barbaad ho gae hain

    nae-nae lafz shor karte baDhe chale aa rahe hain

    lekin

    purane lafzon ki paimali ne dam-ba-KHud kar diya hai mujh ko

    kisi ne socha nahin hai shayad magar main aksar ye sochta hun

    purane lafzon ke sath hi ek purani duniya bhi kho gai hai

    KHamoshiyon ke siyah-zindan mein ja ke ru-posh ho gai hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now