lafzon ka pul
masjid kā gumbad suunā hai
mandir kī ghanTī ḳhāmosh
juzdānoñ meñ lipTe ādarshoñ ko
dīmak kab kī chaaT chukī hai
rañg
gulābī
niile
piile
kahīñ nahīñ haiñ
tum us jānib
maiñ is jānib
biich meñ mīloñ gahrā ġhaar
lafzoñ kā pul TuuT chukā hai
tum bhī tanhā
maiñ bhī tanhā
masjid ka gumbad suna hai
mandir ki ghanTi KHamosh
juzdanon mein lipTe aadarshon ko
dimak kab ki chaT chuki hai
rang
gulabi
nile
pile
kahin nahin hain
tum us jaanib
main is jaanib
bich mein milon gahra ghaar
lafzon ka pul TuT chuka hai
tum bhi tanha
main bhi tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.