lafzon ka zawal
ab aa gayā lafzoñ ke zavāl kā vaqt
bahut shorīda-sar
diloñ ko kuchalte hue
suroñ ko rauñdte hue
nikle the
ab ḳhāmoshī aur sannāTe ke
darmiyān
ye Tukur tukur dekheñge
jab ek dūsre se Takrātī chīzoñ
kī āvāzeñ bhī
un kā saath nahīñ deñgī
bahegā paanī
ek mauj bhī nahīñ degī unheñ
javāb
sab dhakel deñge unheñ
samundar meñ
ḳhāmoshī se
yahī hai un kā muqaddar
ab aa gaya lafzon ke zawal ka waqt
bahut shorida-sar
dilon ko kuchalte hue
suron ko raundte hue
nikle the
ab KHamoshi aur sannaTe ke
darmiyan
ye Tukur tukur dekhenge
jab ek dusre se Takraati chizon
ki aawazen bhi
un ka sath nahin dengi
bahega pani
ek mauj bhi nahin degi unhen
jawab
sab dhakel denge unhen
samundar mein
KHamoshi se
yahi hai un ka muqaddar
- Book : hairat ke us paar (Pg. 13)
- Author : azra abbas
- Publication : Shehzad, B-155, Block-5, Gulshan Iqbal Karachi (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.