lafzon ke darmiyan
dekhte hī dekhte unhoñ ne sayyāre ko lafzoñ se bhar diyā
faisloñ aur fāsloñ ko tuul dene kā fan unheñ ḳhuub aatā hai
jahāz bandar-gāhoñ meñ khaḌe haiñ
aur gharoñ, godāmoñ, dukānoñ meñ
kisī lafz ke liye jagah nahīñ rahī
itne bahut se lafz... uff ḳhudāyā!
mujhe is zamīn par chalte hue aThThā.īs baras ho ga.e
baap, maañ, bahnoñ, bhā.iyoñ aur mahbūbāoñ ke darmiyān
insānoñ ke darmiyān
maiñ ne dekhā
in ta.arīfoñ, ta.ārufoñ aur ta.aziyatoñ ke liye
un ke paas larazte hue hoñT haiñ
DabDabā.ī huī āñkheñ haiñ
garm hatheliyāñ haiñ
unheñ kisī iblāġh kī zarūrat nahīñ
nān-bā.ī gungunātā hai
use lafz nahīñ chāhiye
ek naand... aaTā ghūñdhne ke liye
ek taḳhta... peḌe banāne ke liye
ek salāḳh tannūr se roTī nikālne ke liye
nān-bā.ī kā kaam ḳhatm kar lo to mere paas aanā
yahāñ kināre par sarkandoñ kā jañgal aap hī aap ug aayā hai
kuchh qalam maiñ ne tarāshe haiñ
aur ek bāñsurī...
baaqī sarkandoñ se ek kashtī banā.ī hai
gaDaryā, kisān, kāshtkār, mausīqār, āhan-gar
sab tayyār haiñ
kuchh āvāzeñ kashtī meñ rakh lī haiñ
madrase kī ghanTī...
ek lorī
aur ek duā
ek na.ī zamīn par zinda rahne ke liye is se ziyāda kuchh nahīñ chāhiye
dekhte hi dekhte unhon ne sayyare ko lafzon se bhar diya
faislon aur faslon ko tul dene ka fan unhen KHub aata hai
jahaz bandar-gahon mein khaDe hain
aur gharon, godamon, dukanon mein
kisi lafz ke liye jagah nahin rahi
itne bahut se lafz uff KHudaya!
mujhe is zamin par chalte hue aThThais baras ho gae
bap, man, bahnon, bhaiyon aur mahbubaon ke darmiyan
insanon ke darmiyan
main ne dekha
in tarifon, taarufon aur taziyaton ke liye
un ke pas larazte hue honT hain
DabDabai hui aankhen hain
garm hatheliyan hain
unhen kisi iblagh ki zarurat nahin
nan-bai gungunata hai
use lafz nahin chahiye
ek nand aaTa ghundhne ke liye
ek taKHta peDe banane ke liye
ek salaKH tannur se roTi nikalne ke liye
nan-bai ka kaam KHatm kar lo to mere pas aana
yahan kinare par sarkandon ka jangal aap hi aap ug aaya hai
kuchh qalam main ne tarashe hain
aur ek bansuri
baqi sarkandon se ek kashti banai hai
gaDarya, kisan, kashtkar, mausiqar, aahan-gar
sab tayyar hain
kuchh aawazen kashti mein rakh li hain
madrase ki ghanTi
ek lori
aur ek dua
ek nai zamin par zinda rahne ke liye is se ziyaada kuchh nahin chahiye
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 110)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.