lafzon ki kahani
khaḌe khaḌe is dorāhe par dekheñ ek tamāshā
kaisī hai abhīlāshā
lafzoñ ke ankur se kheleñ rañg rañg kī bhāshā
tarah tarah ke ruup anokhe lafzoñ ke ākār
shabdoñ kī jhankār
phaTī huī pustak ke panne idhar udhar be-kār
shabdoñ ke ākār se kitne dhartī ke dukh kāñpeñ
sab ke dukh ko nāpeñ
guDDū sāhab baiThe baiThe kitne raag alāpeñ
daadī ammāñ daadī ammāñ qisse roz sunā.eñ
pariyoñ kī sair karā.eñ
guḌiyā raanī sakhiyoñ ke sañg shādī roz rachāeñ
khaDe khaDe is dorahe par dekhen ek tamasha
kaisi hai abhilasha
lafzon ke ankur se khelen rang rang ki bhasha
tarah tarah ke rup anokhe lafzon ke aakar
shabdon ki jhankar
phaTi hui pustak ke panne idhar udhar be-kar
shabdon ke aakar se kitne dharti ke dukh kanpen
sab ke dukh ko napen
guDDu sahab baiThe baiThe kitne rag alapen
dadi amman dadi amman qisse roz sunaen
pariyon ki sair karaen
guDiya rani sakhiyon ke sang shadi roz rachaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.