lahore ke nam
maiñ tere liye laayā huuñ phuul
phuul
jo paanī kī chhat toḌ ke ham se aan mile the
ḳhushbū jo miTTī kī kachchī post se bāhar kanpaTiyoñ tak phailī thī
dil jo ḳhvāhish ke bojh se bojhal hil hī nahīñ sakte the
maiñ laayā huuñ dil se uThne vaalī sard havā kī phāñk zamīñ kī ḳhālī
muTThī gehūñ kī guḌiyā
jañgal jin meñ sadā hī ek kitāb khulī thī joban kī
main tere liye laya hun phul
phul
jo pani ki chhat toD ke hum se aan mile the
KHushbu jo miTTi ki kachchi post se bahar kanpaTiyon tak phaili thi
dil jo KHwahish ke bojh se bojhal hil hi nahin sakte the
main laya hun dil se uThne wali sard hawa ki phank zamin ki KHali
muTThi gehun ki guDiya
jangal jin mein sada hi ek kitab khuli thi joban ki
- Book : Pakistani Adab (Pg. 185)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.