lahu bolta hai 5
maiñ apne ḳhuuñ ko javāb detā huuñ
nichlā dhaḌ mere saath rahne do
mere hissa hai merā maiñ hai
ki apne haivāñ kī pahlī manzil se chalne vaalā
ki apne insāñ kī sīḌhiyoñ tak pahuñchne vaalā
mirā hī jauhar thā
shahd kā qatra qatra haivāñ thā
apne insāñ kī sīḌhiyoñ se bhī aur ūñchā
vo mansab-e-nasl jo farishtoñ se bālā-tar hai
jo merī aamad kā muntazir hai
mire hī jauhar ke tīsre āḳhirī qadam kā amiin hogā
mujhe ḳhabar hai
ki aane vāloñ ko
dasht-e-imkāñ meñ ik na.e naqsh-e-pā ke abadī vajūd kā bhī yaqīn hogā
main apne KHun ko jawab deta hun
nichla dhaD mere sath rahne do
mere hissa hai mera main hai
ki apne haiwan ki pahli manzil se chalne wala
ki apne insan ki siDhiyon tak pahunchne wala
mera hi jauhar tha
shahd ka qatra qatra haiwan tha
apne insan ki siDhiyon se bhi aur uncha
wo mansab-e-nasl jo farishton se baala-tar hai
jo meri aamad ka muntazir hai
mere hi jauhar ke tisre aaKHiri qadam ka amin hoga
mujhe KHabar hai
ki aane walon ko
dasht-e-imkan mein ek nae naqsh-e-pa ke abadi wajud ka bhi yaqin hoga
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 515)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.