lahu ka KHiraj
zard hāthoñ par kaalī lakīreñ phail rahī haiñ
dil ke nihāl par jazboñ ke panchhī kaalī añdherī rātoñ meñ naach naach
ke thak jaate haiñ
aañkh kināre aa ga.ī kaa.ī baḌhtī hai
raushan sub.hoñ kī āvāzeñ bebas chīḳhoñ ko kaise rokeñ
har din apne hone kī pahchān meñ gum-sum sharminda
konoñ meñ muñh ko chhupā.e rotā hai
kis kī aas meñ ThanDī purvā āñgan āñgan ghuum rahī hai
palkeñ poñchho
varna har ek aahaT apne chehre par ḳhushiyoñ ko sajā.e ham ko lūTne
aa.egī
ham phir fāhisha aas ke ghuñgrū kī har taal par jī uTheñge
haule haule palkeñ khole darvāze se jhāñkeñge
ik pal sukh kā lamha
ham se saarī umroñ saarī ghaḌiyoñ kā lahū nichoḌegā
ham ko ḳhuun thukvā.egā
zard hathon par kali lakiren phail rahi hain
dil ke nihaal par jazbon ke panchhi kali andheri raaton mein nach nach
ke thak jate hain
aankh kinare aa gai kai baDhti hai
raushan subhon ki aawazen bebas chiKHon ko kaise roken
har din apne hone ki pahchan mein gum-sum sharminda
konon mein munh ko chhupae rota hai
kis ki aas mein ThanDi purwa aangan aangan ghum rahi hai
palken ponchho
warna har ek aahaT apne chehre par KHushiyon ko sajae hum ko luTne
aaegi
hum phir fahisha aas ke ghungru ki har tal par ji uThenge
haule haule palken khole darwaze se jhankenge
ek pal sukh ka lamha
hum se sari umron sari ghaDiyon ka lahu nichoDega
hum ko KHun thukwaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.