Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lahu ka suragh

Faiz Ahmad Faiz

lahu ka suragh

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    kahīñ nahīñ hai kahīñ bhī nahīñ lahū surāġh

    na dast-o-nāḳhun-e-qātil na āstīñ pe nishāñ

    na surḳhi-e-lab-e-ḳhanjar na rañg-e-nok-e-sināñ

    na ḳhaak par koī dhabbā na baam par koī daaġh

    kahīñ nahīñ hai kahīñ bhī nahīñ lahū surāġh

    na sarf-e-ḳhidmat-e-shāhāñ ki ḳhūñ-bahā dete

    na diiñ nazr ki bai.āna-e-jazā dete

    na razm-gāh meñ barsā ki mo'tabar hotā

    kisī alam pe raqam ho ke mushtahar hotā

    pukārtā rahā be-āsrā yatīm lahū

    kisī ko bahr-e-samā.at na vaqt thā na dimāġh

    na mudda.ī na shahādat hisāb paak huā

    ye ḳhūn-e-ḳhāk-nashīnāñ thā rizq-e-ḳhāk huā

    No Sign of Blood

    kahin nahin hai kahin bhi nahin lahu ka suragh

    na dast-o-naKHun-e-qatil na aastin pe nishan

    na surKHi-e-lab-e-KHanjar na rang-e-nok-e-sinan

    na KHak par koi dhabba na baam par koi dagh

    kahin nahin hai kahin bhi nahin lahu ka suragh

    na sarf-e-KHidmat-e-shahan ki KHun-baha dete

    na din ki nazr ki baiana-e-jaza dete

    na razm-gah mein barsa ki mo'tabar hota

    kisi alam pe raqam ho ke mushtahar hota

    pukarta raha be-asra yatim lahu

    kisi ko bahr-e-samaat na waqt tha na dimagh

    na muddai na shahadat hisab pak hua

    ye KHun-e-KHak-nashinan tha rizq-e-KHak hua

    No Sign of Blood

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Faiz Ahmad Faiz

    Faiz Ahmad Faiz

    RECITATIONS

    Faiz Ahmad Faiz

    Faiz Ahmad Faiz,

    Faiz Ahmad Faiz

    lahu ka suragh Faiz Ahmad Faiz

    Source :
    • Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 401)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now