banāyā hai ham ne ye lakḌī kā ghoḌā
saḌā-saḌ saḌā-saḌ lagāte haiñ koḌā
ye kartā nahīñ bhuul kar bhī kabhī haT
jidhar chāhā pherā jidhar chāhā moḌā
ye khātā nahīñ Thokareñ rāste meñ
balā se agar ho koī iiñT roḌā
na ye mārtā hai dolattī kisī ke
kisī kā nahīñ is ne muñh haath toḌā
na is ne kabhī mujh ko ab tak girāyā
na bhāgā na hargiz mirā saath chhoḌā
nahīñ ghaas daane kī bhī is ko hājat
havā khā ke jiitā hai merā ye ghoḌā
kamar is kī lagtī nahīñ baiThne se
nikaltā nahīñ hai koī phunsī phoḌā
maiñ chaḌhtā huuñ roz is pe kapḌe badal kar
nayā merā ghoḌā nayā merā joḌā
chalā-chal mire ghoḌe sīdhā chalā chal
bahut chal chukā ab to rasta hai thoḌā
banaya hai hum ne ye lakDi ka ghoDa
saDa-saD saDa-saD lagate hain koDa
ye karta nahin bhul kar bhi kabhi haT
jidhar chaha phera jidhar chaha moDa
ye khata nahin Thokaren raste mein
bala se agar ho koi inT roDa
na ye marta hai dolatti kisi ke
kisi ka nahin is ne munh hath toDa
na is ne kabhi mujh ko ab tak giraya
na bhaga na hargiz mera sath chhoDa
nahin ghas dane ki bhi is ko hajat
hawa kha ke jita hai mera ye ghoDa
kamar is ki lagti nahin baiThne se
nikalta nahin hai koi phunsi phoDa
main chaDhta hun roz is pe kapDe badal kar
naya mera ghoDa naya mera joDa
chala-chal mere ghoDe sidha chala chal
bahut chal chuka ab to rasta hai thoDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.