lakhnau
ḳhudā ābād rakhe lakhna.ū ko
hamesha shaad rakhe lakhna.ū ko
ye bastī ḳhūbsūrat hai hasīñ hai
kahīñ is shahar kā saanī nahīñ hai
hai baḌh kar ḳhuld se har baaġh is kā
amīnābād-o-qiasar-bāġh is kā
hai phūloñ kī mahak saarī fazā meñ
bahāreñ kheltī haiñ is havā meñ
ravāñ hai gomtī dilkash adā se
bahaltī hai tabī.at is fazā se
hai is kī shaam kī shohrat jahāñ meñ
nazīr is kī kahāñ hindostāñ meñ
nihāyat ḳhushnumā hai saarī bastī
avadh kī jaan hai ye pyārī bastī
bahut sī haiñ purānī yādgāreñ
purānī par suhānī yādgāreñ
hamāre mulk kī urdu zabāñ hai
zabāñ is shahar kī sī par kahāñ hai
bahut shusta zabāñ hai lakhna.ū kī
jo hai urdu vo jaañ hai lakhna.ū kī
KHuda aabaad rakhe lakhnau ko
hamesha shad rakhe lakhnau ko
ye basti KHubsurat hai hasin hai
kahin is shahar ka sani nahin hai
hai baDh kar KHuld se har bagh is ka
aminabaad-o-qiasar-bagh is ka
hai phulon ki mahak sari faza mein
bahaaren khelti hain is hawa mein
rawan hai gomti dilkash ada se
bahalti hai tabiat is faza se
hai is ki sham ki shohrat jahan mein
nazir is ki kahan hindostan mein
nihayat KHushnuma hai sari basti
awadh ki jaan hai ye pyari basti
bahut si hain purani yaadgaren
purani par suhani yaadgaren
hamare mulk ki urdu zaban hai
zaban is shahar ki si par kahan hai
bahut shusta zaban hai lakhnau ki
jo hai urdu wo jaan hai lakhnau ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.