lamha-e-amad
dard ke ta.āqub meñ
fasl-e-dil yuuñ rahtī hai
an-ginat jazīroñ se
kashtiyāñ sī aatī haiñ
kāġhaz-o-qalam ke biich
rāsta banātī haiñ
lafz aur ma.anī meñ
Duub Duub jaatī haiñ
dard-e-dil kī fasleñ tab
ḳhuub lahlahātī haiñ
phuul se khilātī haiñ
gungunātī jaatī haiñ
muskurātī jaatī haiñ
vus.atoñ kā jangal sā
phail phail jaatā hai
dard ke taaqub mein
fasl-e-dil yun rahti hai
an-ginat jaziron se
kashtiyan si aati hain
kaghaz-o-qalam ke bich
rasta banati hain
lafz aur mani mein
Dub Dub jati hain
dard-e-dil ki faslen tab
KHub lahlahati hain
phul se khilati hain
gungunati jati hain
muskuraati jati hain
wusaton ka jangal sa
phail phail jata hai
- Book : Khwaab Palkon Mein (Pg. 98)
- Author : Vishal Khullar
- Publication : Insha Publications (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.