Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lamha-e-ghanimat

Sahir Ludhianvi

lamha-e-ghanimat

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    muskurā ai zamīn tīra-o-tār

    sar uThā ai dabī huī maḳhlūq

    dekh vo maġhribī ufuq ke qarīb

    āñdhiyāñ pech-o-tāb khāne lagīñ

    aur purāne qimār-ḳhāne meñ

    kohna shātir baham ulajhne lage

    koī terī taraf nahīñ nigrāñ

    ye girāñ-bār sard zanjīreñ

    zañg-ḳhurda haiñ āhanī sahī

    aaj mauqa.a hai TuuT saktī haiñ

    fursat-e-yak-nafas ġhanīmat jaan

    sar uThā ai dabī huī maḳhlūq

    muskura ai zamin tira-o-tar

    sar uTha ai dabi hui maKHluq

    dekh wo maghribi ufuq ke qarib

    aandhiyan pech-o-tab khane lagin

    aur purane qimar-KHane mein

    kohna shatir baham ulajhne lage

    koi teri taraf nahin nigran

    ye giran-bar sard zanjiren

    zang-KHurda hain aahani hi sahi

    aaj mauqa hai TuT sakti hain

    fursat-e-yak-nafas ghanimat jaan

    sar uTha ai dabi hui maKHluq

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 70)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now