lamha
ek sulgī huī sī dhaḌkan par
kapkapāte larazte hoñToñ se
jism bhar par hurūf ugte haiñ
ḳhāmushī ko zabān miltī hai
lau pighal kar badan meñ ghultī hai
ruuh meñ aks ugne lagte haiñ
aa.ine par sarāb chalte haiñ
qatra qatra pighalte jazboñ par
rafta rafta phuvār paḌhtī hai
vaqt kī nabz tez chaltī hai
har gunāh-o-savāb se aage
āyat-e-be-ḳhudī kī sarhad par
barf se bhaap tak ke raste par
qurb-e-tahlīliyat kī manzil par
vasl-e-mālūmiyat ke hāsil par
ek lamha Thahar sā jaatā hai
zindagī sirf ek lamha hai
ek sulgi hui si dhaDkan par
kapkapate larazte honTon se
jism bhar par huruf ugte hain
KHamushi ko zaban milti hai
lau pighal kar badan mein ghulti hai
ruh mein aks ugne lagte hain
aaine par sarab chalte hain
qatra qatra pighalte jazbon par
rafta rafta phuwar paDhti hai
waqt ki nabz tez chalti hai
har gunah-o-sawab se aage
aayat-e-be-KHudi ki sarhad par
barf se bhap tak ke raste par
qurb-e-tahliliyat ki manzil par
wasl-e-malumiyat ke hasil par
ek lamha Thahar sa jata hai
zindagi sirf ek lamha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.