lamha
yahī ek lamha hai
jab mere paañv zamīñ par haiñ
merā vajūd ek soñdhī sī ḳhushbū liye hai
yahī ek lamha
ki maiñ huuñ
yahī ek lamha
ki tū hai
tirā ḳhuun sayyāl ātish
tire jism ko
ek miTTī ke tārīk putle ko
lau de rahā hai
yahī ek lamha hai taḳhlīq-e-takrār-e-taḳhlīq
varna bujh jā.egī terī ātish
nikal jā.egī merī ḳhushbū
yahi ek lamha hai
jab mere panw zamin par hain
mera wajud ek sondhi si KHushbu liye hai
yahi ek lamha
ki main hun
yahi ek lamha
ki tu hai
tera KHun sayyal aatish
tere jism ko
ek miTTi ke tarik putle ko
lau de raha hai
yahi ek lamha hai taKHliq-e-takrar-e-taKHliq
warna bujh jaegi teri aatish
nikal jaegi meri KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.