Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lamhat-e-azadi

Altaf Mashhadi

lamhat-e-azadi

Altaf Mashhadi

MORE BYAltaf Mashhadi

    ghaTāoñ ke sāyoñ mastī se baḌh kar

    farishtoñ pākīza hastī se baḌh kar

    hasīñ barbatoñ ke tarannum se pyāre

    lab-e-dil-nashīñ ke tabassum se pyāre

    vatan ke hasīnoñ ke nāmoñ se mīThe

    nigāhoñ ke pur-kaif jāmoñ se mīThe

    mohabbat ke āvāra rāgoñ se pyāre

    sulemā zulfoñ ke nāgoñ se pyāre

    sitāroñ ke pur-nūr bistar se dilkash

    mah-o-mehr ke sīm-gūñ ghar se dilkash

    bahāroñ uThtī javānī se shīrīñ

    mirī āshiqī kahānī se shīrīñ

    vo lamhāt guzreñ jo āzādiyoñ meñ

    vo auqāt guzreñ jo āzādiyoñ meñ

    ghaTaon ke sayon ki masti se baDh kar

    farishton ki pakiza hasti se baDh kar

    hasin barbaton ke tarannum se pyare

    lab-e-dil-nashin ke tabassum se pyare

    watan ke hasinon ke namon se miThe

    nigahon ke pur-kaif jamon se miThe

    mohabbat ke aawara ragon se pyare

    sulema ki zulfon ke nagon se pyare

    sitaron ke pur-nur bistar se dilkash

    mah-o-mehr ke sim-gun ghar se dilkash

    bahaaron ki uThti jawani se shirin

    meri aashiqi ki kahani se shirin

    wo lamhat guzren jo aazadiyon mein

    wo auqat guzren jo aazadiyon mein

    Source :
    • Book : Azadi Ki Nazmein (Pg. 83)
    • Author : Sibte Hasan
    • Publication : Uttar Prdesh Urdu Academy,Lucknow (1985)
    • Edition : 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now