lamhe uDte hain kabhi ya to titliyon ki tarah
lamhe uḌte haiñ kabhī yā to titliyoñ kī tarah
yā kabhī ḳhushbuoñ kī mānind chīḳh uThte haiñ
usī raftār usī shor-o-ġhul ke dā.ere
kisī bhī lamhe ko maazī nahīñ banñe dete
simaTte phailte sāñche meñ vaqt ke Dhal kar
ajab shakl ke ban kar zamāna rakhte haiñ naam
zamāna
jaise ik fāqa-zada giddhoñ kā giroh
be-kafan ummīdoñ kī lāshoñ pe nazreñ gaaḌe hue
muntazir rahtā hai jhapTe kab
kafnā.ī huī umañgoñ kī bhiiḌ
chitā kī aañch meñ lālach meñ gher Daale hue
khaḌī huī hai jo kab se
khaḌī rahe kab tak
lamhe uDte hain kabhi ya to titliyon ki tarah
ya kabhi KHushbuon ki manind chiKH uThte hain
usi raftar usi shor-o-ghul ke daere
kisi bhi lamhe ko mazi nahin banne dete
simaTte phailte sanche mein waqt ke Dhal kar
ajab shakl ke ban kar zamana rakhte hain nam
zamana
jaise ek faqa-zada giddhon ka giroh
be-kafan ummidon ki lashon pe nazren gaDe hue
muntazir rahta hai jhapTe kab
kafnai hui umangon ki bhiD
chita ki aanch mein lalach mein gher Dale hue
khaDi hui hai jo kab se
khaDi rahe kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.